About Us

Hello friends…  ham ek bhartiya nagarik hai. Hame logon ki madad karna, unki samsya hal karna or unhe salah dena bahut pasand hai. Hindi me hame achchi jaankari hai. Isliye hamne ye site hindi me banai hai. Mere kul milakar 2 websites aur 2 YouTube channels hai. Jisme se, sabse pramukh or dil ke karib meri ye hindimeseekhe.info site hai.

Is Par Aadharit

Ye site internet, blogging, site making, phone se judi jaankari dene ke liye hai.

Site Banane Ka Maksad

Site banane ke pichhe, mera ek hi maksad hai. Logo ko site banane se judi baate, hindi me batana or vistaar se samjhana. Taki mere visitors ko, koi bhi chij samajhne ke liye. Alag-alag sites ke chakkar naa katna pade. Unki problem solve karna. Unhe sahi salah dena. Yahi mera maksad hai.

Is Site Ko Visit Kyu Kare

Is site ko visit isliye kare.

  1. Ye hindi site hai. Sari jankari hindi me di gayi hai. Ham kitni bhi achchi English kyu naa bol le. Par hamara vastavik charitra hindi me hi ubharta hai. Kyuki hindi hamari matri bhasha hai. Isliye hindi dil ke kareeb na ho. Aisa ho nahi sakta.
  2. Ham sari jankari vistaar se dete hain. Chhoti se chhoti baat bhi highlight karte hain. Taki apko sab kuchh vistaar se samajh aa jaye. Or ap bhi expert ban sake.
  3. Ham apni har post par, us post se related post ki link dalte hain. Taki apko, apki samasya ka samadhan ek hi jagah mil jaye. Jaise, hamne post likha ki, blogspot me site kaise banaye? To usi post par apko kai or link milene. Jaise, template kahan se download kare ? Template kaise set kare or favicon kaise generate kare ? etc.
  4. Ham sari jaankari apne anubhav ke aadhar par dete hain.
  5. Jo bhi information dete hain. Pahle khud use test karte hain. Fir ap tak jaankari pahuchate hain.

Hame Ye Blog Banane Ka Idea Kaise Mila

Ye idea milne ke pichhe ki kahani mera site kaise banate hain. Ye sikhana hai. Jab ham ye seekh rahe the. To hame bahut problem hui. Sab kuchh samajhne me. Pahli problem to English ki hui. Jo hame confuse karti hai. Dusri problem, ek hi post me, hame sare sawal ka javab nahi milata tha.

Tisri problem, lagbhag har site me, bate shortcut me batai jati hai. Jo samjhane me dikkat paida karti hai. Or hame har website par comment ke option bhi nahi milte the. Or kisi site me comment kar bhi de. To uska reply santoshajanak nahi hota tha. To hamne socha ki jo problem hame hui. Vo kisi or ko naa ho. Isliye hamne is site ka nirmaan kar diya.

Apko Ye Fayda Milega

Ham is site me. Jo bhi jaankari dete hain. Vo sab mere khud ke anubhav se prapt hue hain. Isliye ap nisankoch mere bataye hue step follow kar sakte hain. Ham aisi koi jaankari share nahi karte. Jo ham khud na jante ho. Ham sare post khud likhate hain. Ap hamse apne sawal puchh sakte hain. Ham apke har sawal ka javab denge. Or apki puri madad karne ki kosis karenge. Sab kuchh vistaar se samjhayenge.

Social Sites Par Follow Kare

Hamse sampark karne ke liye. Direct Contact Us par message kare.