Hello Friend… Aaj ham aapko Adf Ly Kya Hai or Adfly Account Create Kaise Kare, iske bare me batane ja rahe hain. Ye online earning ka bahut hi aasan or safe tarika hai. Sach kahe to adfly earning ka vo rasta hai. Jahan kamai karne ke liye. Apko kisi bhi besic knowledge ki jarurat nahi hoti. Aapko bas isme sharing karni padti hai. Jo aap WhatsApp, Facebook ya Instagram me karte hi hai. Bas yahan koi shayari ya image ki jagah, aapko adfly links share karna padega.
Shuruaat me isse income kam ho sakti hai. Par jab ap adfly earning tricks jaan jayenge. Tab aapke liye ghar baithe online earning karna bahut aasan ho jayega. To chaliye vistar se batate hain.
Adfly Kya Hai?
Adfly ek URL shortener website hai. Jisme kisi bhi URL ko short kar sakte hai. Isi URL ko ham kahin par shere kare. Or uspar click karta hai. To hamari income hoti hai. Jitni jyada clicks hongi. Utni jyada earning hogi. Iske liye apko pahle apna adf.ly account banana hoga. Jiske bare ham aapko niche batane wale hain. Alexa rank me ye duniya ki 100 sabse badi websites me se ek hai.
URL Shortener Kise Kahte Hain?
Pahle aap is 👇 URL ko dekhiye.
https://webinformer.in/ysense-kya-hai-paise-kaise-kamaye/
Ye kitna lamba URL hai. To isi URL (Link) ko short karne wali Website ko URL Shortener kahte hain. Ab ye Link dekhiye.
Ye link, us link se kitna chhota hai. Jise hamne adfly se short kiya hai. Aap ek bar isme click karke dekhiye. Apko pahle ads dikhai denge. Apko 5 second rukana hoga. Uske baad aap skip add par click karege to apko dono URL me bilkul same hi page dikhai dega par aap Short URL ke jariye vo URL tak pahoso ge to apko Ads Dikhai degi or kuch Second Wait karna hoga or usi sij ka apko Paisa milega
Adf Ly Kaise Kaam Karta Hai?
Internet me aisi kai websites hai. Jo khud ko promote karwane ke paise deti hai. To adfly inke website ko, Hamari short ki hui link se marge kar deta hai. Isi shortlink par, jab bhi koi click karta hai. To un advertiser’s ki website khulti hai. Or websites ko jitne views milte hain. Uske Aadhar par vo adf ly ko paise dete hai. Aur adfly usi paise ka 30% apne pas rakhkar, baki ka hame de deta hai. To is tarah se dono ki income ho jati hai. Or yahan aapko sach me paise milte hain.
Khasiyat Kya Hai
- Bina kisi basic knowledge ke online earning kar sakte hain.
- Yahan aapko do tarah ke ads, Interstitial Advertisement or framed banner (isase low earning hoti hai) type ke ads milte hai. Jise apni suvidha ke anusar istemal kar sakte hain.
- Kaafi Sare tools diye hain. Taki ham Jyada Se Jyada kama sake.
- Aap apne link ka custom name bhi rakh sakte hain.
- Alag-alag types ki links ko, aap folder banakar manage kar sakte hain.
- Aap apne link ko kabhi bhi edit kar sakte hain. Custom name change kar sakte hain, advert type change kar sakte hain.
- Sirf $5 me paise nikal sakte hain.
Burai Kya Hai
- Kabhi-kabhi ye faltu ke redirect karne lagta hai. Matlab jo real URL hai. Us tak pahunchane nahi deta.
- India me kam payment karta hai.
- Facebook par link shere nahi kar sakte. Twitter or Google+ me bhi. Whatsapp or websites me ya forum me Shere kar sakte hain.
- Farji click nahi kar sakte hain. Lekin apne dosto se click karwa sakte hain.
Adfly Payment Kaise Milegi?
$5 ho jane ke baad, aap PayPal, Payoneer or Pyaza me payment le sakte hai. Lekin kuchh niyamo ka palan karna hoga.
- $5 se pahle payment nahi nikal sakte.
- Payment’s details sahi sahi bharni hogi.
- Paise nikalne ke 72 ghante pahle tak, ap payment details change nahi kar sakte.
Adfly Account Sign Up Kaise Kare?
Ab tak apne faisala kar liya hoga ki apko adfly join karna hai ya nahi? Agar apka jawab haan hai. To chaliye apko ise join karne ke bare me batate hain. Sabse pahle apko niche Join now ka button hai uske upar click karna hai uske bad apke samne ek or page open hoga usme bhi ek Join now ka Button hoga uske upar click karna hai
Ab ek popup window khulegi.
- Yahan apna pura nam likhiye. (Original name hi likhiyega)
- Yahan username likhe. Kuchh bhi likh sakte hain.
- In do boxes me ek hi email address daliye. Isi email par verification link aayega.
- Link shrinker select kijiye.
- Yahan password bhare.
- Captcha code likhe. Bilkul sahi sahi bharna hai. Warna galat ho jayega.
- ✔ (Tik mark) lagaiye.
- Join par click kijiye.
Ab apke email me verification link notification aayega. Us link par click karke account verify kar lijiye. Aapka adfly account create ho chuka hai.
Ye apke account ka dashboard hai.
- Yahan se apni earnings check kar sakte hain.
- Yahan aapko apni sare links ke folders dikhai denge. Jo apne banaya hoga. Waise ek Dafault folder already bana rahata hai. Folder banane ke liye. Isi ke sabse niche Configure me jaiye.
- Yahan se ap kisi bhi URL ko, edit, delete or uski statics check kar sakte hain.
- Yahan par apko baki ke sare options milte hain. Jinme se sabse important hai Tools.
- Google Opinion Rewards Redeem Kaise Kare?
- Gboard Keyboard App से Mobile में Hindi Typing कैसे करें?
- Mobile और Computer पर Voice Typing कैसे करें?
Adfly Tools Ke Use Aur Fayde
Agar aap badhiya adfly earning karna chahte hain? To aapko in tools ki achhi Jankari honi chahiye.
- Mass Shrinker – iska use kar ke, ek hi sath 20 links short kar sakte hain. Apko bas sare URL ek line se rakhne hai. Or mass shrink par click karna hai.
- Multiple Links – is tool ka use, ap kisi ek post ke sare URL ko one click me short kar pate hain. Apko bas post ka sara HTML code, yahan paste karna hai fir multiple links par click kare. Or convert code ko, post ke HTML me paste kar de.
- Easy links – is Tool ka use ap tab kar sakte hain. Jab ap baar-baar kisi url ko short nahi karna chahate. Tab ap is link ke aage, bas apan URL add kar dena hai. Fir ye automatic earning link ban jayegi. Jaise – https://adf.ly/24487229/www.google.com hai. Ab isi me hamne apna url add kar diya. https://adf.ly/24487229/hindimeseekhe.info ab is URL ko koi bhi open karega. To meri earning hogi.
- Bookmarklet – ye apko browser me le jata hai. Jahan se ap links short kar sakte hain.
- API Documentation – ye ek tarah ki apki user id ke jaise hoti hai. Isaka use application banane wale log kar sakte hain.
- Web Analytic – iska use kar ke, ap is account ko Google analytics se connect kar sakte hain. Taki apko pata chal sake apke blog se adf.ly ke kitne links click kiye gaye hain.
- Full Page Script – iska use kar ap apni website ko paise dene ki machin bana sakte hain. Isme diye hue code ko bas, apni website me paste kijiye.
- Website Entry Script – iska use karne se, visitors ke entry hote hi pahle vo ads dekhega. Fir skip ke baad hi website me pahunchega. Ye kafi achha tarika hai per day 1000 visitors wale website se paise kamane ka.
- Export Links and Stats – isse aap apane sari links ko download kar sakte hain.
- Domains – iski help shortner link me apna hi domain name set kar sakte hain.
- Pop Ads – iska use kar ke, ap bina kisi click ke bhi paise kama payenge. Kyunki fir visitors ko popads show hongi. Is code ko bas website me paste kar dijiye.
- Plugins – ye tool WordPress website use karne wale logo ke liye hai.
- Mobile – Mobile par jate hi apko adf ly app download karne ke options milte hain. Ye koi useful tool nahi hai.
Ye ho gayi Adfly ke sare tools ki jankari.
Adfly Link Shortener Use Kaise Kare?
Apne account ke dashboard me jaiye.
- Is box me url daliye. Kisi bhi chij ka daal sakte hain.
- Yahan se baki ke sare options show ho jayenge.
- Yahan ap advert type choose kar sakte hain. Jaise – Interstitial Advertisement, Framed Banner aur No Advert.
- Yahan permalink set kar sakte hain. Taki koi bhi click karne me majboor ho jaye.
- Yahan links ke liye. Apne jo folders banai hogi. Uski list dekhegi. Aap koi bhi select kar sakte hain.
- Ab finely Shrink par click kijiye.
Ab isi Short URL ko jahan-jahan share karna chahe. Kar sakte hain.
Conclusion
To friends ab aap jaan chuke hain ki adf ly kya hai or adfly account create kaise kare. Hamne kafi chhanbin karke ye post likha hai. Agar apke pas koi aisi website hai jisme per-day 1000 views hai. To usme aap adf.ly links, scripts, pop-ads ka use kar ke, khoob sara paisa kama sakte hain. Thodi mehant to karni hogi. Agar website nahi bhi hai. To bhi whatsapp to hai. Usme sharing se bhi aap baithe-bithaye kama sakte hai.
Bahut badhiya post likhi hai apne, padhkar majaa aa gaya or kuchh naya seekhne ko bhi mila lekin adfly per click kitna payment karta hai?
Exactly earning to nahi bata sakte. Lekin India me kam hi earning hoti hai.
hansa ji aap bhi adfly se earning kar rahi hai kya. mujhe bhi karni hai lekin payment kaise lu
PayPal account bana lijiye. Zindgi bhar kaam aayegi. Aap direct bank account me bhi payment le sakte hain