Blogger Blog Banane Ke Baad Kya Kare

Hello friends… Blogger Blog Banane Ke Baad Kya Kare? Agar aap bhi ye janana chahate hain. To ap sahi post padh rahe hain. Kyunki naye bloggers ke liye. Ye bahut bada issue hota hai. Vo website create to kar lete hain. Lekin blog banane ke baad kya karna chahiye? Ye nahi jante. To is post me ham Is vishay ke bare me complete guide karenge.

blogspot-blog-banane-ke-kya-karna-chahiye

Ham aapko ek-ek kar ke puri baat samjhane wale hain. To ho sakta hai ki post jyada lambi ho jaye. Lekin fir bhi ham sab kuchh achche se explain karenge. Agar koi bhi confusion ho to comment me puchhe.

Blog Banane Ke Baad Kya Kare

  1. Sabse tahle to apne blog me custom domain add kijiye. Custom domain kya hai aur kyun use kare? Iske baare me ham pahle hi aapko bata chuke hain.
  2. Domain ke baad blog URL me HTTPS (SSL) enable kijiye. Ab blogger, custom domain par bhi HTTPS de rahi hai.
  3. Ab ab setting me jakar blog title or meta description set kijiye.
  4. Ab language and formatting me jakar time set kijiye. Sahi time set karna bahut jaruri hai.
  5. Comment box setting bhi kar lijiye.
  6. Ap aap kam se kam 10 post likh lijiye. Post ko SEO friendly hi likhe.
  7. Ab aap koi best template dhundhiye. Template kaisa hona chahiye padhe.
  8. Ab template upload kar ke, uska sara design check kijiye. Structure data errors check kijiye. Or blog loading speed bhi check kijiye. Kyunki ye dono SEO ke main factors hai.
  9. Ab achchha logo design kijiye. Or header me set kijiye.
  10. Sare widgets sahi se set kijiye. About author sidebar ya post footer me lagaye. Labels selective lagaye.
  11. Ab RSS feedburner account banaye or sidebar me stylish subscription box add kare.
  12. Menu baar me link add kijiye.
  13. Kuchh popular social media sites jaise facebook, twitter, instagram or googke+ me blog ko link kijiye. Facebook par page create kare. Twitter or instagram me blog name ka account create kijiye. Google+ collection ya community create kijiye.
  14. Ab sare important pages jaise about us, privacy policy, disclaimer and contact us Page Create kar le. Or unke links blog ke menu bar ya footer me jarur add kare.
  15. Ab apna blog google search console, Bing or yandex jaise search engines me submit kijiye. Or use verify bhi kar lijiye.
  16. Ab search console me sitemap add kijiye.
  17. Blogger me robot txt add kijiye. Or custom robot header tags achchi tarah samajh lene ke baad hi enable kijiye.
  18. Ab blog ko google analytics me submit kariye.

Itna sab karne ke baad ap onpage SEO and offpage SEO ko achche se samajh lijiye. Or regular posting karte rahiye. Or blog ke traffic par dhyan dete rahiye. Off page SEO karte rahiye. Ye kam pure blogging career me karte rahna padta.

To friends ab aap samajh gaye honge ki blogger blog banane ke baad kya kare. Kyunki hamne bahut simple way me aapko bataya hai. Aapko koi bhi confusion ho. To aap comment me puchhe. Ham aapka confusion door karenge.

4 thoughts on “Blogger Blog Banane Ke Baad Kya Kare”

Leave a Comment