Blogger me category kaise banaye. How to create labels in blog.

Blogger_post_me_label_use_kare_category_kaise_create_kare

Hello friends… Is post me ap janenge ki blogger post me label kya hai or blogger post me category kaise create karte hain ? Mere kuchh visitors hain. Jinhone blog banaya hai. Par unhe category banana nahi aa raha. To aj ap blogger me category banana seekh jayenge. To agar apne blog nahi banaya. To ap is post “blogger me free website kaise banaye” ko padhiye. Blog banane ke baad bari aati hai post likhne ki. Post kaise likhe. Ye janane ke liye. Is post “blog post kaise likhe” ko padhiye ko padhiye.

Blogger me label kya hai ?

Blogger me label hi vo chij hai. Jise ham category kahte hain. Post ko kisi category me set karne ke liye, blogger post me label lagana padta hai. Post me label lagana bahut jaroori hai. Label se ye pata chalta hai ki post kis vishay par aadharit hai. Maan lijiye, apka blog nature par aadharit hai. Lakin nature me to bahut sari chije aati hain. Jaise -: River, bird, animal, mountain, flower. To apne jo post likhi hai. Vo kis vishay par aadharit hai ? Ye visitors ko kaise pata chalega ? Javab hai, label. Label se hi blogger me category create hota hai. Jise tag bhi kahte hain. To ab jaan gaye honge ki label kya hai or use kyu add kiya jata hai post par.

Blog post me label kaise lagaye ?

Post me Label add karna bahut hi easy hai.
  • Sabse pahle ap apne blog me jaaye.
  • Fir new post me click kare.
  • Fir puri post likh le.
Blog_post_label_option
Puri post likh lene ke baad, ap Label par click kare.
Blog_post_label_create_kare
Ab label create karne ka option mil jayega. Jab apko koi naya label lagana ho. To box me label likh ke, Done par click kar de. Label lag jayega. Or apko label ke niche, or bhi labels dikhai de rahi honge. Ye vo labels hai. Jo pahle hi create ho chuki hai. Or in sare labels ko bhi ap use kar sakte hain.
Blog_post_add_labels
Jab apko lage ki apne jis category par post likha hai. Uska label pahle hi create kiya hua hai. To apko us label ko likhne ki jarurat nahi. Ap bas us label par click kar dijiye. Vo label khud box me aa jayega. Uske baad Done me click kar ke, label add kar dijiye. Is tarah apka samay bhi bach jayega.

Label use karne ke liye kuchh tips:

Label ka use bahut hi samajhdari se karna chahiye. Kyunki ye apke blog ka bahut hi important hissa hai.
  • Post se sambandhit label hi lagaye.
  • Jarurat padne par ek post me, ek se jyada label bhi use kare.
  • Kinhi-2 blog me apne dekha hoga. Ki ek post par 3-4 tag hote hain. Yaani ki label. Aisa isliye hota hai. Kyuki vo post un charo category se related hoti hai. Jaise ham is post me sirf blog knowledge label hi use karenge. Lekin ham isme knowledge window label bhi add kar sakte hain. Kyuki ham is post me apko kafi kuchh seekha bhi rahe hain.
  • Label soch samajhkar kar hi create kare. Kyuki ek baar label create ho gayi. To vo kabhi delete nahi hoti.
  • Apke sare labels blog category me najar aati hai. Isliye bekar ke Label kabhi create naa kare. Anyatha bahut pareshani hogi.

To ab ap blog post me label lagana jaan hi gaye honge. Koi problem hone par comment me puchhiye. 😊

4 thoughts on “Blogger me category kaise banaye. How to create labels in blog.”

  1. Sabse pahle apne blog ko Google search console mein submit kijiye.

    Sitemap submit kijiye.

    Ab blogger dashboard me aaiye aur setting » search preference » custom robots.txt file check kijiye.

    Uske baad custom robots header tags kijiye.

    Agar apne, noindex, noarchive, none, jaisa kuchh bhi select kiya hai. To use hata dijiye.

    Tino option "all" aur "noodp" set kijiye. Fir dheere2 apki problem solve ho jayegi.

    Reply

Leave a Comment