Blogger post me image kaise upload kare full guide.

Blog me new image kaise upload kare

Hello friends… Aj is post me ham apko blog me new image upload karna batayenge. Friends apne har blog me kam se kam ek image to dekha hi hoga. Kyuki blog me ek image, 1000 shabdo ke barabar hota hai. Sirf ek image apki post ke bare me puri jaankari de deta hai. Jisase visitors ye decide karte hain ki unhe ye post padhna hai ya nahi. Sirf itna hi nahi apke blog post me uploaded ek image, apke us post ka SEO bhi karta hai. Blog ke liye apko khud ki image image banani chahiye. Taki ap kisi bhi tarah ke copyright ke mamle me na fase. To padhe blog post ke liye new image kaise banaye or uska full SEO kaise kare. Agar ap image banana seekh gaye hain. To ab image upload karna seekh lijiye. Agar apne blog nahi banaya, to pahle “blog kaise banaye” post padhiye. Image uploading sikhne se pahle, apko blog me new post kaise likhe ? Ye jananaa hoga. To ye janane ke liye ap meri ye “blog me new post kaise likhe” post padh sakte hain. To ab image upload karne ke bare me baat karte hain.

Blog me new image kaise upload kare:

  • Sabse pahle ap apne blog me jaiye.
  • New post pe click kijiye.
Blog new post image upload icon
Ap ap new post create karne ke liye taiyar hai. Apko image upload karne ke liye. Image icon me click karna hoga. Jaisa ki ap image me dekh rahe hain.
Blog new image upload options
Ab ek window khulegi. Usme apko image upload karne ke kai options milenge.
  • Upload
  • From this blog
  • From google album archive
  • From your phone
  • More
In sare options se ap images upload kar sakte hain.
Blog new image upload file option
Upload sabse best tarika hai image upload karne ka.
  1. Upload file par click kar ke, gallery se image select kar le.
  2. Upload ho jane ke baad, Add selected par click kar ke upload kar de.
Blog new image from this blog and google album archive
  • From this blog me apko, apke is blog me upload kiye hue sare images milenge. Jaise ki agar apne 3 post likhi hai. Or tino post me 5-5 images upload ki hain. To yahan apko total 15 images ek sath milenge. Isme jo image ap current post me upload Karna chahte hain. Use select kar ke upload kar sakte hain.
  • Upload Google Album Archive apko sare images categories me milenge. Isme apko Google+ me post kiye photos or Profile photos bhi mil jayenge. To yahan se bhi ap kisi image ko select kar ke image upload kar sakte hain.
Blog image upload from your phone and more option
  • From your phone me apko sirf wahi wahi photos milenge. Jo apne phone se post ki hai. Jaise Google+ me apne phone se post ki. To vo photo apko yahan mil jayegi.
  • More me click karte hi apko 2 or option milenge. Webcam or URL. Webcam se upload karne ke liye. Apko flash player aap use karna hoga. Or URL se ap image ko, uske URL se upload kar sakte hain.
Blog new image upload from URL
  1. Yahan image ka URL daliye. Yaad rakhiye, agar image URL galat hoga. To yahan image dikhai nahi dega. Agar dikhai de raha hai. Iska matlab URL sahi hai.
  2. Ab Add selected par click kar ke upload kar dijiye.
To ye rahi apki blog me image upload karne ki puri jaankari. Koi confusion ho, to comment me puchhe. 😊

Leave a Comment