Blogger Me New Post Kaise Likhe aur SEO Tips

blogger-blospot-me-new-post-kaise-likhe-seo-friendly-kaise-banaye

Hello friends… Agar aap ye post padh rahe hain. To isaka matlab ye hai ki apane apni khud ki website Blogger Platform par bana li hai. Or ab aap ye janana chahate hain ki Blogger Me New Post Kaise Likhe? Konsi Si Chijen Post Ko SEO (search engine optimize) Friendly Banati Hai?

To apko ham ek-ek baate pure vistar se batayenge. Blogger par new post kaise likhate hain? Is topic par apko hajaron posts mil jayegi Google par. Lekin unme se koi bhi apko Blogspot platform par post likhane ki A to Z jankari nahi deta. Sirf “yahan post likhiye or yahan se publish kijiye” yahi batate hain.

Lekin friends, apko post likhate time or bhi kai saare options milte hain. Or unme kuchh option, hamare post ko SEO friendly banane ke liye jaruri hote hain. Or internet me maujud sare posts padhkar, kafi sare new bloggers mehnat ko dugna badha dete hain.

Pahle unki mehant post likhane me jati hai. Uske bad jab unko SEO friendly post likhne ke bare me malum padta hai. To fir sare post ko SEO friendly banane me waqt barbad hota hai. Par ham apko full details denge ki blogger platform me new post kaise likhate hai with SEO.

Blogger Me New Post Kaise Likhe

Sabse pahle apane blogger dashboard me jaiye.

blogger-blogspot-par-new-post-option

Ab ap New Post par click kare.

blogger-par-new-post-likhane-ka-sahi-tarika-seo-ke-sath

Ab is yahan pahunch jayenge. Friends ham chahate hain ki ham jo apko batate jaaye. Use ap practical kar ke dekhiye. Isake liye ap new tab open kar ke, post writing page me aa jaiye. Or mere bataye anusar kar ke dekhiye. Tab apko achchi tarah samajh aayega.

  1. Yahan aapko, apne post ka title likhna hai.
  2. Yahan par apko article likhna hai. Jaise ap abhi padh rahe hain. Vo yahin par likhi gayi hai. To ap bhi 2-3 lines likh lijiye.
  3. Is part me apko options milte hain. “Compose mode” yani ki ek normal notepad ki tarah ap post likh sakte hain. Or HTML mode ka use tab kiya jata hai. Jab ham koi code add karna chahe. Undo ka use kar ke ap, ek hi click me kuchh seconds pahle ka likha hua mita sakte hain. Redo ka use kar ke, mitaya hua ko wapas laa sakte hain.
  4. Yahan apko 3 options milte hai. Fonts (f) par click kare. Wahan apko kuchh fonts stylish milenge. Jiska use kar ke aap post font style change kar sakte hain. Text (TT) is option se text size set kar sakte hain. Headings (normal) ki madad se ap heading (H2, H3, H4) add kar sakte hain.
  5. Ye option text ke decoration ke liye diya gaya hai. B ka use font ko bold karne ke liye, I ka use font ko tedha karne ke liye, U ka use font ke niche line lagane ke liye aur ABC ka use font ko bich se katne ke liye kiya jata hai. Aap koi words ko select kijiye. Uske baad B par click kijiye. Vo word bold ho jayega.
  6. Ye 2 options apko text ko color karne ke liye diya gaya hai. Ek se text color change kar sakte hain. Or dusre se text ka background color badal sakte hain.
  7. Yahan aapko 5 options milte hain. First, link ka use kar ke hi ap, apane blog ka, ya fir bhi dusre website ke post ka URL add kar sakte hain. Puri jankari yahan se prapt kare. Second, is option ki help se image upload kiya jata hai. Puri jankari yahan se prapt kare. Third, yahan se video upload hota hai. Fourth, agar aapko koi emotions ya symbol add karna hai. To yahan se add kar sakte hain. Fifth, ye option ka use pahle homepage par, post me read more ka option lagane ke liye kiya jata tha. Lekin ab ye karne ki jarurat nahi padti. Kyonki custom template me automatic set rahata hai.
  8. Yahan bhi apko 5 options milte hain. First, iski madad se sentence ko Left, Right or Center me set kar sakte hain. Second, is option se ham number list ke hisab se likh sakte hain. Third, bullett dots ka use, kisi baat ko point by point samjhane ke liye kiya jata hai. Fourth, isese blackqoute set kar sakte hain. Isme ap jo bhi likhenge. Vo ek alag tarah ke box me dikhai dega. Fift, agar apse anjane me koi galat chij set ho gayi ho. Jaise ap text blod nahi karna chahate. Lekin apse text bold ho gaya ho. Tab is option ka use kar ke ap use normal kar sakte hain.
  9. Yahan aapko 2 options milte hain. First, ka use karke ap apne word ki spelling check kar sakte hain ki vo sahi hai ya nahi? Second, ye un logon ke liye. Jo hindi post likhna chahate hain. Kyonki ye, Hinglish typing ko hindi me convert kar deta hai. Jiski wajah se hindi likhna aasan ho jata hai.
  10. Ye do options se ap ye set kar sakte hain ki, apko wright se left ki or likhna hai, Ya left se wright ki or. Jaise Urdu likhne ke liye apko is option ka use karna hoga.
  11. Is option se ap labels (tag/category) create kar sakte hain or set kar sakte hain.
  12. Is option ke istemal se aap schedule post kar sakte hain. Aap jo date and time yahan set karenge. Post us date ko post automatic published ho jayegi.
  13. Yahan par ap post permalink set kar sakte hain. Isaki puri jankari yahan padhe.
  14. Yahan ap location set kar sakte hain.
  15. Yahan post ki description likh sakte hain. Ye option pahle se enable nahi rahta. Padhe, Description box kaise enable kare.
  16. Yahan post ki extra setting kar sakte hain. Jaise comment disallow karna.
  17. Yahan robot header tags manually set kar sakte hain. Ye option bhi pahle se enabled nahi rahata. Ise enable karna padta hai. Isaki puri jankari ke liye ye post padhe.
  18. Ye option post close karne ke liye diya gaya hai.
  19. Isaka use kar ke ap post ko pahle hi dekh sakte hain ki publish hone ke baad,post kaisa dikhai dega. Or ye achchhi chij hai.
  20. Isaka use kar ke post ko save kar sakte hain. Taki baad me bhi likha ja sake.
  21. Ab finely ap blogger new post publish kar sakte hain.

SEO Friendly Post Ke Liye Kya Jaruri?

Ab ham apko post ko SEO friendly banane ke liye kya chijen karni jaruri hai? Is baat par roshani dalenge. Halanki isaki liye ap ye post bhi padh sakte hain.

  • Ek attractive post title sabse jaruri hota hai. Jisme keywords ka achchha use kiya gaya ho.
  • Post me Heading ka bhi use karna bhi jaruri hai. Kyonki isse post ki quality badhati hai. Kam se kam ek heading to jarur de.
  • SEO friendly image ka use karna. Jyadatar log sirf image upload karte hain. Uska SEO nahi karte. Jabaki ye bahut immortant hai.
  • Post me keywords ka use kare, par keyword stuffing se bache. Or keywords ko bold ya italic jarur kare.
  • Internal linking (dusre post ka link add karna) bhi bahut jaruri hai blog ki traffic increase karne ke liye.
  • Use labels, costume permalink and discription. Ye post SEO factor me sabse jyada important hai.

To friends ab aap achchi tarah samajh gaye honge ki Blogger Me New Post Kaise Likhe? Aur sath hi ye ki Post Ko Seo Friendly Banane Ke Liye Kya Jaruri Hai? Post achhi lagi ho to hamare blog ko jarur subscribe kare.

4 thoughts on “Blogger Me New Post Kaise Likhe aur SEO Tips”

Leave a Comment