Blogger Post me, Custom Robots Tags Use Karne Ke Fayde aur Nuksan

Hello friends… Aaj ham Blogger Blog ke har post me Custom Robots Tags Use karne fayde aur nuksan ke baare me batayenge. Ye hamare post ki advance settngs me gina jata hai. Isliye yahan par ki gayi koi galti, apke post On-page SEO ka bahut nuksan karegi. Hamne bahut sari galtiyan ki hai. Isliye ham nahi chahte ki koi aur bhi ye galtiyan kare.

Hamne pichhale hi post me aapko blogger ke advance SEO feature, Custom Robots Header Tags ke bare me vistaar se bataya hai. Agar aapne ye post padha hai. To apke man me post ke andar Custom Robots Tags Use karne se jude,kuchh sawal to jarur aaye honge,, jaise – kounsa Custom Robots Tags Use karne se kya fayda hai aur kya nuksan hai?

blogger - post me Custom Robots Tags Use karne ke fayde aur nuksan

To is post me ham aapko yahi samjhane ki koshish karenge ki kis Custom Robots Tags Use karne se, kya fayde hain or kya nuksan. Apko hamari Custom Robots.txt File Kya Hai aur Kaise Set Kare, ye batane wali post padhane post padhni chahiye kyunki ye Blog SEO ka important part hai.

Custom Robots Tags Use Karne Ke Fayde aur Nuksan

Blogspot ke har post settings me se, ek setting Custom Robots Tags ki bhi hoti hai. Jinme kul milakar 10 tags hote hain. Aur har tags ko select karne se, aapke post ke Search Engine Optimisation par bahut asar padta hai. Isliye sare tags ke fayde or nuksan dhyan se padhiye.

blogger me custom robots tags use kaise kare

Ye option har post me pahle se enable nahi hota. Ise enable karna hota hai. Jiske bare me hamne apko bata diya hai. Ab ham aapko Custom Robots Tags Use ke fayde or nuksan batate hain.

All

  • Fayda – aapki post ko sirf fayda hi hoga. Kyunki isase aapke post ke content, tags, comments, images, links sabhi chijen index hongi aur follow ki jayegi.
  • Nuksaan – nuksan sirf tab hoga. Jab ap post ko index, follow, archive, snippet, translate karna nahi chahte honge. Anyatha koi nuksaan nahi.

Noindex

  • Fayda – agar ap post ko index nahi hone dena chahte. Tab ye option select kare. Apki post ko google dekh to payega. Lekin use index nahi karega. Blog ke sare Pages ko index hone se rokne ke liye yahi setting ki jati hai.
  • Nuksaan – bina index hue, Post google search results me nahi aati. Ye select karne se aapko kabhi bhi is post par Google search se click nahi mil payega. To agar ap chahte hain ki ye post logo tak pahunche. To ye select na kare.

Nofollow

  • Fayda – agar aapne apni kisi post par kisi aisi website ki links rakhi hai. Jiska content apke blog se na milta ho. Ya fir apne affiliate links rakhi ho. To un links ko google na follow kare, Wahi behtar hai. Kyunki hamare post se un website ko jo Backlinks milegi. Vo low quality ki hogi. Jisase us blog ya website ko nuksaan hoga. Or dusro ka nuksaan kar ke ham khud ka bhala nahi kar sakte. To ek hi settings se ap sare hi links ko follow karne se rok sakte hain. Backlink ke bare me vistaar se janiye is post me.
  • Nuksaan – agar is post me aapne, apne blog ki links bhi di hai. To vo bhi nofollow ho jayegi aur apne blog links ko kabhi bhi nofollow nahi karna chahiye. Isliye ye select karne se pahle dhyan de. Kisi bhi link me nofollow or dofollow kaise lagaye.

None

  • Fayda – ise select karne ka fayda tab hai. Jab ap blog ko personal diary ki tarah use karte ho. Kyunki ise select karne ka matlab hai ki google aapki post me jhank bhi nahi sakta.
  • Nuksaan – ye option ap select hi tab karte hain. Jab aapko post me full privacy chahiye hoti hai. To nuksan jaisi koi baat hi nahi hai.

Noarchive

  • Fayda – apki post nahi rakhega. Ye Custom Robots Tags Use karna apke kaam tab aayega. Jab is post ko Google Cache Memory me save nahi karwana chahte.
  • Nuksaan – Google Cache Memory me hamari post ko nahi rakhega. Iska nuksan ye hoga ki agar dusra blogger hamare post ko copy karke apne blog me use karega. To hamare paas koi subut nahi rahega Google ko ye batane ke liye ki, “ye post hamne likhi hai.”

Nosnippet

  • Fayda – agar aapne apne ko index karne ke liye allow kiya hai. To iska matlab ye hai ki aap apne post ko logon tak pahunchana chahte hain. To jab chahte hi hain ki log apki post tak pahunche, to fir nosnippet set karna koi matlab nahi hai. Kyunki is chij ko rokne ke noindex hi kaafi hai.
  • Nuksaan – ye select karne se apke post traffic ka bahut nuksan ho jayega. Kyunki Rich Snippet me aane wali post par 99% clicks hote hain. Hamari post Rich result me tab aati hai. Jab hamare blog ka Structured Data Errors Free ho.

Noodp

  • Fayda – Fayda ye hai ki search results me apke ki Description SEO Friendly hogi. Aur apke post ko Organic Traffic milne ke chances jyada rahenge.
  • Nuksaan – ye set karne se apke post ki Search Description bilkul useless, matchless ho sakti hai. Yaani ki search result me post description me kuchh aisa bhi aa sakta hai. Jiska apke post se koi lena-dena nahi hai.

Notranslate

  • Fayda – fayda kuchh nahi hai.
  • Nuksaan – ap dusri bhashaon ke visitors kho sakte hain. Aise visitors jo apki post ki language nahi samajhte. Lekin vo Google translate ki wajah se apki post padh sakte hain. Ap unko kho denge. Google post translation tab offer karta hai. Jab apke blog me Ideal Language Set ho.

Noimageindex

  • Fayda – aise to kuchh nahi. Lekin agar apne kisi post ki “indexed” image ko hatana chahte hain. Tab iska use kar sakte hai.
  • Nuksaan – image hamare post ke liye kitna jaruri hai ? Ye hamne blog ke liye “SEO friendly image kaise banaye” post me bata diya tha. To agar apne is post me image rakha hai. To ise select karne se aapko bahut nuksaan ho sakta hai.

Unavailable_after:

  • Fayda – Ye Custom Robots Tags Use, tab faydemand ho sakta hai. Jab aap kisi aisi topic par post likha ho. Jo ek nirdharit samay ke baad useless ho jayegi. To aap is tag ke madhyam se google ko ye bata sakte hain ki, “meri ye post is tarikh ke baad hata do.”
  • Nuksaan – jo post hamesha ke liye useful ho. Use par ye kabhi bhi set na kare. Baki koi nuksan nahi hai.

Ab ap jaan gaye honge ki kounse Custom Robots Tags Use karne se kya fayde hain or kya nuksaan. To ab apni suvidha anusar iska istemal kare. Koi duvidha hone par comment karke jarur puchhe.

5 thoughts on “Blogger Post me, Custom Robots Tags Use Karne Ke Fayde aur Nuksan”

Leave a Comment