Blogger Blog Me Profile Set, Edit aur Show Kaise Kare

Hello friends… aaj ham apko Blogger Blog Me Apna Profile Kaise Set, Edit Aur Show Karte Hai. ye batayenge. Google+ ke band ho jane ki wajah se, bahut se Bloggers ko ye pareshani ho gayi ki ab vo apna Blogger Profile Kaise Set Karenge? Kyonki pahle to Google+ ka profile blog me show hota tha aur ham jo comment karte the. Wahan bhi Google Plus Profile ka profile image hi show hota tha.

Lekin ab kya hoga? Blogger comment section me admin ki photo kaise show hogi? Aur sabse bada dar to is baat ka hai ki agar Blogspot Profile Google+ Se Hatakar Blogger kar diya. To kahin blog ka nuksan na ho jaye? To dosto aisa kuchh nahi hoga. Kyonki apka blog, Blogspot par hai, Google+ par nahi.

Blogger-har-post-ke-niche-admin-profile-kaise-lagaye

Fayde Kya Hai

Fayde aur Nuksan ki baat nahi hai, baat jarurat ki hai. Kyunki blogger ne “Posts, comments and sharing” se Google Plus se jude sare options hata diye hain.

  • Google+ Comments: ise set karne se jo users comments hote the. Vo sidha Google Plus ki post par redirect ho jata tha.
  • Shere to Google+: is option ko karne se hi hamara blog sidha Google Plus account se connect ho jata tha aur isse auto post share karne me help milti thi.

Ye dono hi options ab hata diye gaye hai. Jaldi hi User Settings se bhi hata diya jayega. Aur shayad ye 2 April se hoga. Kyonki Google ne isi tarikh ki ghoshana karte hue kaha tha ki 2 April se ye Google Product completely close ho jayega. Padhe ki Google+ kyu band ho raha hai aur apko kya chahiye? To isse pahle ki vo band ho. Usse pahle hi aap apna Blogger Profile Change kar lijiye.

Blogger Profile Kaise Set Kare

Hame ummed hai ki profile change karne ko lekar apka dar khatm ho gaya hoga. Ab apne Blogger Dashboard login kijiye.

blogger-profile-kaise-set-kare
  1. Settings me jaiye fir User Setting par click kijiye.
  2. Ab User profile Blogger select kijiye.
  3. Ab bas Save kar dijiye.

Dekha, kitni aasani se apka Blogger Profile Set ho gaya. Ab apko bas apna Profile Edit karne ki jarurat hai.

Profile Edit Kaise Kare

Aaj kal naye Templates already about author code add rahta hai. Aur isi code ki wajah har post ke niche about me show karta hai. Hame har post ke niche about author widget show karne ke liye ek setting karni hoti hai. Lekin usse blog profile ko edit karna jaruri hota hai.

blogger-profile-edit-kaise-kare

Apko aisa page milega. Ham yahan sirf jaruri chijen set karne ke bare bata rahe hai.

  1. Privacy: yahan aap chahen to apne selected blogs ko show kar sakte hai. Share my email address aur Show sites I follow set karne se ye dono hi chijen viewers ko dikhenge. Yahan par main setting bas blog list ki hai.
  2. Identity: yahan aap apne user ko ek alag email address de sakte hain. But ye jaruri nahi hai. Par yahan jo bhi naam likhenge. Wahi naam blog par show karega.
  3. Profile Photo: yahan apna profile photo upload kijiye. Aap yahan apna Gravatar Image hi use kijiye. Isse logo me apki jaldi pahchan banegi.
  4. General: yahan sirf Gender set karna jaruri hai. Baki sab aap chhod bhi sakte hai.
  5. Location: ye bhi set karna jaruri hai. Taki log apko jaan sake.
  6. Work: yahan aap apna kam set kar sakte hain.
  7. Additional Information: yahan par apko introduction bharna bahut jaruri hai. Kyonki yahan jo aap likhenge. Wahi apke about author me show karega. Dhyan rakhe, 1200 se jyada akshar nahi hone chahiye. Baki options aap khali bhi chhod sakte hai.
  8. Ab Save Profile par click kare.

To is tarah se ap apna Blogger Profile Edit Aur Save Kar Sakte Hai.

Har Post Ke Niche About Author Kaise Show Kare

Ham jis About Author Ko Show karne ki baat kar rahe hain. Vo Theme me maujud About Us Code ke karan show karta hai. Apke template me ye trick tabhi work karegi. Jab vo code apke theme me hoga.

blogger-post-ke-niche-about-author-kaise-lagaye

Blogger Dashboard me jaiye.

  1. Layout select kijiye.
  2. Blog Posts Edit click kijiye.
  3. Ab aap dusre page me pahunch jayenge. Wahan par setting karne ke baad aapko yahan par Save Changes par click karna hoga.
blogger-har-post-ke-niche-about-us-kaise-lagaye
  1. Show Author Profile below post par ✔ mark lagaiye.
  2. Ab Save kar dijiye. Aap wapas se layout page me aa jayenge. Ab Save Changes kar dijiye.

Blogger Post Ke Niche About Author Show Karne Ka Process pura hua.

Ab apna blog check kijiye. Agar ye trick apke blog par work nahi kar rahi hai. Tab apko manually About Us Code add karne ki jarurat hai. Uske liye aap About Us Code Kaise Lagaye post padhiye. Hame puri ummeed dosto ki apke liye post helpfull sabit hui hogi.

7 thoughts on “Blogger Blog Me Profile Set, Edit aur Show Kaise Kare”

Leave a Comment