Blogger Blog Me Page Links Footer Me Kaise Lagaye?

Hello friends… Is post me ham apko ye batayenge ki Blogger Blog Pages Link Footer Me Add Kaise Kare? Hamare blogspot website me kai sare important pages, jaise – About us, privacy policy, contact us or disclaimer page hote hain. Or in pages ko blog me show karana bahut jaruri hota hai.

Blogger blog pages link show karane ke tricks bahut sare hain. Jisme sabse jyada achha tarika website ke footer me blog pages link add karna hai. Kyonki yahan rahne se, visitors ko page links aasani se dikhai bhi dete hain or footer design bhi achcha ho jata hai. Isake sath hi © Copyright ka tag bhi laga sakte hain.

Blogger Blog Me Page Links Footer Me Kaise Lagaye

Blogger Blog Me Pages Link Kaise Show Kare?

Agar aapne abhi tak pages create nahin kiye hai. Page Kaise Banaye? Pages dikhane ke teen tarike hain.

1. Layout me jaake, add a widget se, pages widget ko add karke.
2. Blog ke menu bar me, pages ke link add kar sakte hain.
3. Blog ke footer me pages link add kar ke.

In teeno tariko me, website footer me pages link add karna. sabse jyada achcha hota hai. Kyunki footer par aasani se najar chali jati hai aur design bhi achchha ho jata hai.

Blogger Blog Pages Link Footer Me Kaise Add Kare?

Isse pahle hamne aapko template footer credit link remove karna bataya tha. Usame apko 2 methods bataye the, credit link remove remove karne ke.

To dono hi tarike se remove karne par, pages link add karne ka tarika thoda sa alag hai. To aap dono hi tarikon ko apna hi tarika apanakar dekhen. Lekin pahle premium template me page add karna batate hain.

Premium Template Me Pages Link Kaise Add Kare

Blogger Template Edit Kar Ke Header Logo Lagaye

Theme me jaaye, fir edit HTML me jaiye. Ab ap template me credit link ka koi bhi word search kijiye. Jaise – design by ya powered by.

Jab credit link mil jaaye. Tab template ke credit links hatakar, apne pages ke links add kar dijiye. Ho jayega.

Blogger Blog Me Pages Link Footer Me Kaise Lagaye?

Aap blogger dashboard me jaiye. Fir theme » Edit HTML me jaiye. Agar aap mobile blogger hain. To ap meri mobile me blogspot template edit karne ke 2 tricks padh sakte hain.

Trick 1

Ab apake template ke credit link jahan par bhi rakha hai. Usi line ke upar, apne pages ke link add kar dijiye. Fir theme save kar dijiye.

Copyrighth© 2017 <data:blog.title/> All Rights Reserved.

About |
Privacy policy |
Disclaimer |
Contact us |
Sitemap

Trick 2

Agar us tarike se, links show na kare. To ye trick use kare. Jahan par credit links hai. Uske footer class ke niche, ye code lagaye.

Copyrighth©

Home |
About Me |
Privacy Policy |
Sitemap |
Disclaimer |
Contact Us

Friends ye code sahi place par lagana jaruri hai. Warna ho sakta hai ki, code work na kare. Or haa, apane page ke URL ke jagah, apne page URL likh lijiye.

To friends, is tarah se aasani se blogger ke footer me pages link add kar sakte hain. or apko ye article pasand aya hoto please is article ko apne blogger dosto ko jarur bheje

3 thoughts on “Blogger Blog Me Page Links Footer Me Kaise Lagaye?”

Leave a Comment