Hello friends… aaj ham Blogging se hatkar ek alag topic par baat karne wale hain. Aaj ham stock market ka ek mahatvpurn hissa Demat Account Ke Bare Me Puri Jankari dene wale hain. Is post me aap janenge ki Demat Account Kya Hai, Demat Account Kaise Khole, Demat Account Kahan Khole?
Demat Account har us vyakti ke liye jaruri hai. Jo share market me invest karte hain. Demat Khata aise investers ko bahut sari pareshaniyon aur jhanjhaton se bachata hai aur share ke chori hone ya kisi bhi tarah ke her-fer hone ke chances bhi naa ke barabar ho jate hai. Aaiye pahle samajh lete hain ki Demat Account Kya Hota Hai?
Demat Account Kya Hai?
Jis tarah paiso ka bank hota hai jahan par hamare sare paise jama rahte hain usi prakar Demat Account me hamare kharide hue sare shares (shares kharidane ke liye paise) rahte hain. Demat Account ke jariye ham stock market me shares kharid ya bech sakte hai. Demat ka pura naam Dematerialize hota hai.
Jaise hamare jo paise bank me hote hain. Vo bhautik rup me naa hokar, digitally rupaye hote hain. Lekin jab ham use nikalte hain to vo hame bhautik rup me mil jate hain. Usi prakar Demat Account me bhi, ham shares ko digitally kharid ya bech sakte hain. Hame unko bhautik rup me kharidana ya bhechana nahi padta.
Purane jamane me ye sab jagahon par hota tha. Isliye tab log trading bhi nahi karte the. Lekin Demat Account ke aagaman ke baad Trading karna bahut aasan ho gaya hai. Hame ummeed hai ki ab aap Demat Account Kya Hota Hai ye jaan chuke honge. Ab batate hai ki Demat Account Kaise Kholte Hai?
Demat Account Open Kaise Kare?
Bharat me SEBI ke guidelines ke hisab se do pramukh sansthanon dwara apka Demat Account khola jata hai aur in sansthaon ke naam hai NSDL (The National Securities Depository Limited) aur CDSL (Central Depository Services (India) Limited). PAN card bhi inhi sansthaon dwara banaya jata hai.
PAN card banvane ke liye to apko kisi agent ki jarurat padti hai magar Demat Account Open karne ke liye apko kisi agent ki jarurat nahi padati, aap khud hi kisi bank ya stock broker ke application ya website ke jariye online apna Demat Account Khol Sakte Hai.
Jyadatar achche Stock Broker apko Demat account ke sath sath trading account kholne ki suvidha bhi dete hain. to market me Bahut sare istarike ke App Hai Jaha se aap Ghar Bethe trading or demat account Open kar skte hai vo bhi bilkul free me to me apko ese kuch bahetarin App ke bareme niche batauga.
- SBI Bank अकाउंट का Balance कैसे चेक करे?
- Bitcoin Kya Hai? – What is Bitcoin in Hindi
- अपना Android Mobile Reset/Format कैसे करें?
Best Demat Account Service in India
India Me bahut sari company hai jo Free Demat & Trading Account Open karne ki Seva Dete hai to aaj me usi company ke Ke Apps ke bareme Bat karuga jiske madad se aap bahut asani se Demat Account khol skte hai
- Upstox
- Angel Broking
- Zerodha
- 5Paisa
Aap in Sabhi Company ke App ya website ke jariye Free Demat Account open kar skte hai or Ab ham jane ge ki Demat account kholne ke liye hamare pas kya kya Documents hona jaruri hai
Demat Account Open Karne Ke Liye Kya Documents Hona Jaruri Hai?
Demat Account Open Karne ke Liye apke Pas kuch Ducuments Hona Jaruri Hai to vo Document Kya Kya Hai vo ham niche ek ek karke Janege.
- PAN Card (Photo)
- Aadhar Card (aage, pichhe side ka photo aur aadhar se linked number verification ke liye)
- Mobile number (Main Number)
- Email address
- Bank Account
- Passport size photo (photo)
- Blank paper par kiya hua signature ki photo
- Live Video Ya Photo
Ye Sabhi Documet Apke pas hona jaruri hai varna aap kisi bhi Website ya App me Demat Ya Trading account open nhi kar skte hai or dhyan rakhe ki apke Adhar Card me mobile number link hona jaruri hai varna apka Demat Account Open Nhi Hoga or Kuch App Me Demat Account kholne ke liye apko Live Apna Camera On karna padta hai isiliye aap jiska Bhi Demat Account Open kar rahe hai vo Banda apke Samne Hona jaruri hai varn aap uska Demat Account open nhi kar skte hai
Ye sab Document submit karne ke bad apka Demat Account 24 Ghante me khul jata hai to aap is traikese bahut hi asani se apna Demat Account Free Me Khol skte hai.
Conclusion
Muje Asha Hai ki apko mera ye article jarur pasand aaya hoga or apko Demat Account ke bareme Kuch Saval Hai to Aap Niche Comment me bata skte hai or apko ye article pasand aaya hoto please is article ko apne dosto ke sath share jarur kare
Aap kis company ka aur kaun sa hosting plan use karti hai
Ham ShriHost ka ultra (unlimited) plan use kar rahe hai.