Gmail id recover kaise kare, password bhul jane ke baad.

Hello friends… Is post me ham apko Google account hack ho jane ya, uska password bhul jane ke baad. Gmail id recover kaise kare, password bhul jane ke baad. Ye batayenge. Gmail account (jise ham google account bhi kahte hain) uska password hame yaad rahna bahut jaruri hai.

Gmail password yaad rahna kyu jaruri hai:

  • Ek Blogger ke liye to gmail account sab kuchh hota hai. Kyuki agar gmail password bhul gaye. To blogspot or Google search console kabhi login hi nahi kar payenge. Kyuki ye dono hi ek hi gmail address se login hoti hai. Or sirf ye dono hi nahi. Balki Google ki har service ka labh. Apko ek hi gmail account se milti hai. To agar gmail password bhul gaye. To ap google ki koi bhi service ka labh nahi le payenge.
  • Sirf blogspot ke jaise hi. Free website banane ke liye. Ek or platform hai. Jiska naam hai Wapka. Yahan bhi account banane ke liye. Apko gmail address dena padta hai. Or wahan par bhi ap, apna password bhul gaye. To apko account recovery ke liye. Gmail ki hi help leni padegi.
  • Facebook ko koun nahi janta ? Or ye bhi ki, isme account banane ke liye. Apko gmail address ya phone number dena hota hai. Or Facebook account ke recovery ke liye bhi, apko number ya gmail address ki help leni padti hai.
  • Twitter ko bhi koi nahi janta? Isme bhi account banane ke liye. Gmail or number ki jarurat padti hai. Or agar yahan bhi password bhul jane ki istithi me account recovery ke liye gmail ki hi help leni padti hai.
  • Itna hi nahi. Balki kai anya websites or social sites ke liye. Gmail account ki jarurat padti hai. Isliye gmail account ka safe rahna bahut jaruri hai.

Gmail account recover kaise kare:

Agar gmail password bhul bhi gaye. To bhi account recover ki jaa sakti hai. Apke paas bas vo number activate hona chahiye. Jis number se apne gmail account banaya tha. Ye sabse aasan tarika hai gmail account recovery karne ka.

Sabse pahle ap www.gmail.com par jaiye. Apna gmail address daal kar next par click kare.

Ab jo page aayega. Usme apko password dalne ko bola jayega. Lekin apko password yaad nahi. Isliye ap Need help par click karenge.

Ab aisa page aayega. Apko purana password dalne ko kaha jayega. Agar kisi ne apka gmail account hack kar liya hai. To ap yahan apna password daal kar recovery kar sakte hain. Lekin ap password bhul gaye hain. To apko Try a different question me jana hoga. So yahan isme click kare.

Ab aisa page khulega. Apse number manga jayega. Or apke ka last 2 digit number bhi show karega. Taki apko yaad aa jaye ki apne konsi number se gmail account verify kiya tha. Apna number likhe or Send text message me click kar dijiye.

Ab aisa page aayega. Google apke number par, ek verification code bhejegi. Us code ko is box likhiye. Or Next par click kar dijiye.

Ab jo page aayega. Usme ap, apna naya password daliye. Fir dusre password me bhi naye password ko hi daliye. Confirm karne ke liye ki ap isi naye password ko rakhna chahte hain. Fir Change password par click kar dijiye.

Agar aisa page aaye. To iska matlab ye hai ki, apne jo naya password dala hai. Vo strong password nahi hai. Isliye yahan par fir se naya password daliye. Or password strong hona chahiye. Jaise koi bhi word ko password rakhiye. Lekin uski spelling galat likhiye or usme symbol or numbers bhi add kare. Example: agar apne “love” password rakha hai. To uski spelling “llovvvvee@0333” likhiye. Is tarah ke password ka andaja lagana bhi muskil hai. Ab ap Change password par click kar dijiye.

Apka gmail account apko wapas mil gaya hai. Ab ap gmail account ke me recovery ke liye. Ek phone number or ek gmail address add kar le. Agar apke pas dusra gmail account nahi hai. To apne kisi dost ya kisi bhi karibi vyakti ka gmail address daal sakte hain. Koi paresani ho. To comment kar ke puchhe.

4 thoughts on “Gmail id recover kaise kare, password bhul jane ke baad.”

  1. actually sir mera Gmail account me sign in nahi ho raha hai waha ” can’t find your account” show ho ✓✓✓✓✓

    Reply
  2. Hame mem boliye. Apne jo gmail ID dala hoga. Vo shayad galat hoga. IsliyIs apke account ko find nahi kar pa raha hai. Aap find my account me jakar, apna vo number daliye. Jisse ID banayi thi. Uske baad apne us gmail ID ka first name or last name likhiye. Or next par click kijiye. Uske baad aapko apna Gmail address dikh jayega.

    Reply

Leave a Comment