Hello friends… aaj ham apko Google Account Kaise Banaye ya aap ye bhi kah sakte hai ki Gmail ID Kaise Banaye? Kyonki ye dono hi ek dusre se jude hue hain. Jab aap Google par account banate hai. Tabhi apko ek Email Address milta hai. Kyunki vo email Google ka hota hai. Isliye use Gmail kahte hain.
Is post me aap Email Address Kya Hota Hai, Google Account Ka Use Kya Hai, Gmail ID Banane Ka Tarika, aur bhi kuchh important questions ke answer jaan jayenge. Post thodi lambi ho sakti hai lekin useful hogi. To pura padhe.
Google Account Kaise Banaye?
Friends… ham apko ye saaf kar de Gmail Account Create karne ka ek hi process hai. Jo Phone aur PC dono par lagu hote hain. Yani ki Mobile me bhi same usi tarah se G-mail Id banti hai, jaise desktop me. To ab Email ID Banane Ka Process shuru karte hain. Sabse pahle Gmail.com par chale jaiye.
Ab Create Account par click kare.
Ab apko aisa page milega.
- First name me apna naam likhe or Last name me apna surname likhe.
- Username me ap jo bhi likhenge. Wahi apka Gmail Address hoga aur Gmail ID bhi ise hi kahte hain. Yahan apko username suggest bhi kiya jayega. Lekin ap khud se username create kare. Taki vo apko yaad rahe. Jaise – agar apne “apkanaam03” likha hai. To apka g-mail address “[email protected]” hoga, aur agar apne “username75” likha. To “[email protected]” apka email address hoga. To apne hisab se yahan username bana le. Lekin vo username available bhi rahna chahiye. To jab tak apko apna unique username na mil jaye. Tab tak username re-create karte rahiye.
- Ab in dono box me apko ek Password likhna hai. Apna password strong rakhe aur yaad rakhe.
- Yahan par apna birth Month, Day aur Year likhiye.
- Yahan apna Gender Male, Female aur Other select kare.
- Pahle apna Country Code select kare, fir apna phone number likhe. (Google Account Security ke liye ye bahut zaroori hai)
- Agar aapka pehle se koi email address hai ya aapke parents ya kisi friend ki email ID hai. To use yahan add kar sakte hai. Ye mail address bhi account ko secure karne ke liye helpfull hoga. Agar apke pas aisa koi email nahi, to khali hi chhod de.
- Apni Country select kare.
- Ab Continue par click kare.
I AGREE par click kare.
Ab Google apse ke puchega ki Account Verification code aapko text message me chahiye ya voice call ke jariye? To aap Text message (SMS) select kijiye aur Continue par click kariye.
Ab aapke number par jo 6 digit OTP code aaya hoga. Use is box me likhe aur Continue kare.
Ab apko aisa page milega. Your new email address is ke niche jo address show raha hai. Wahi apki Gmail ID hai. Ab Continue par click kare. Continue par click karte hi aap Gmail me pahunch jayenge. Jahan apko Google ki taraf se 2 mails bhi aaye honge.
Agr apko Google ya Gmail Account ke bareme or bhi janakari sahiye to aap article ko age bhi padh skte hai kyoki age mene bataya hai ki Gmail Kya hai Iska use kya hai or kise Gmail id bola jata hai to mene niche is sab ke bareme vishar se bataya hai
Gmail Kya Hai?
Gmail Kya Hota Hai? Ye samajhne se pahle aapko ye samjhna hoga ki Email Kya Hai? Email ka matlab Electronic Mail hota hai. Aap ise internet ka daak bhi kah sakte hai. Internet ke madhyam se ham jo bhi patra (massage) ya JPG, MP3 aur MP4 files ko bhejate hai. Use Email kahte hai.
Duniya me jitne bhi services milti hai. Use koi na koi company hi de rahi hoti hai. Gmail bhi Google ka diya hua ek free mail service hai. Jo usne apne users ko di hai. Kyonki ye Google ka Mail hai, isaliye ye G-Mail hai.
Duniya me GMail ki tarah hi aur bhi kai sari mail services hai. Jiska istemal log karte hain.
- Yahoo Mail
- Hot Mail (Microsoft)
- Yandex Mail
Ye tin Email Services mukhya taur par istemal ki jati hai.
Gmail Ka Use Kya Hai?
Agar aap internet ka use karte hain to net ki kai suvidhaon ko use karne ke liye Email ki jarurat padti hai. Sirf ek Gmail Address se aap internet ka pura upyog kar sakte hai aur bharpur laabh utha sakte hai.
- Google ke har Products ka use karne ke liye, Gmail ID ki jarurat padti hai. Jaise – Play Store, Youtube, Hangout, Drive aur Keep. Blogger me free website banane ke liye bhi isi ki jarurat padti hai.
- G-mail kisi bhi company, sansthan ya vyakti se sampark karne ka sabse bada aur achcha madhyam hai.
- Har social media, jaise- Facebook, Twitter aur Instagram, par account banane ke liye Email ID ki jarurat hoti hai.
- Google Account ki help se aap is blog ke jaisi kai sari websites par comment kar sakte hai. (Agar ye post useful hui, to comment kar ke jarur bataye)
Agar apke pas apna koi Email Address nahi hai. To aap abhi internet ka aadha istemal bhi nahi kar rahe hai.
E-Mail/G-mail Address Kise Kahte Hai?
Purane jamane me jo kaam post office karta tha. Wahi kaam aaj Mail Service karti hai. Lekin daak me bhi ham jo letter dalte the. Vo khat, khat par likhe pate (address) par pahunchata tha. To apka Emaill/Gmail ko bhejne ke liye bhi use ek pata chahiye hota hai.
Jab ham Google Account Create karte hain. Tab hame ek Email Address milta hai. Jise ham GMail Address kahte hai. Aur ye pata har kisi ka alag-alag hota hai. Ek hi naam ke do insan ho sakte hai. Lekin same Email Address, 2 vyaktiyon ke nahi ho sakte.
- Mobile Phone में Ctrl+F Button का इस्तेमाल कैसे करे?
- Mobile और Computer पर Voice Typing कैसे करें?
- Mobile में Hindi Typing कैसे करें?
Conclusion
Muje ummid hai ki apko mera ye article jarur Pasand Aya hoga or apko is article ke sabandhit koi bhi saval hai to aap niche comment me puch skte ho or Please is article ko apne dosto ke sath share Jarur kare