Blogger Users Gravatar Image Kaise Set Kare (Complete Details)

Hello frends… is post me ham apko blogger platform use karne wale, gravatar account kaise banaye? Ye batane wale hai. Har passionate blogger ko apane content se related, Kai blogs me comment karna hota hai. To aapne wordpress blogs me notice kiya hoga. Ki kuchh log jo comment karte hain. Unke naam ke pahle, unki image khud ki image show hoti hai.

blogspot-users-gravatar-image-kaise-set-kare

Lekin kuch logon ke image jagah, cartoon ki photo show karti hai. Aisa kyu hota hai? Isaliye ki Jinke khud ka image show kar raha hai. Unka email gravatar image set kiya hua hai. Aur jinki khud ki picture dikhai nahi de rahe. Unka gravata picture set nahi hai. Isaliye wordpress comment me, by default avatar image ki jagah cartoon najar aate hain.

Gravatar Kya Hai?

Gravatar ek aisi service hai. Jahan aap multiple email address par, ek alag photo set kar sakte hain. Aap ise ek tarah se email ka personal profile image bhi kah sakte hain. Ye set karne ke baad hi, jab bhi aap kisi WordPress blog me comment karenge. To wahan ap jo bhi email address dalenge. Usi email ka gravatar image, comment profile me najar aayega.

Gravatar Use Karne Ka Fayda

  • Sabse pahle to ye apke professional blogger hone ki pahchan hoti hai.
  • Aapki anya bloggers ke bich achchi pahchan banti hai. Kyunki naam yaad rakhna mushkil hota hai. Lekin image aasani se yaad ho jata hai.
  • Sabse jaruri baat. Apko gravatar se high PR backlink bhi milti hai. Or ye high quality backlink hamare blog ke liye kitna jaruri hota hai? Ye aap jante hi honge.

Ab apko batate hain ki blogspot users wordpress comment me apna photo kaise dikhaye?

Blogger Users Gravatar Account Kaise Banaye

Agar apka WordPress blog nahi bhi hai. To bhi aap isme account bana sakte hain. Pahle gravatar.com par jaiye.

create-your-own-gravatar

Ab Create Your Own Gravatar par click kijiye.

Gravatar-account-create-kaise-kare

Ab aap Sign up page par pahunch chuke hain.

  1. Apna email address daliye.
  2. Ab username likhiye. (Kuch bhi likh sakte hain)
  3. Yahan password likhiye.
  4. Ab Continue par click kijiye.

Ab apko email address par verification link milega. Us par click kar, account verify kar lijiye. Aapka account ban chuka hai.

Blogger Users Gravatar Image Kaise Set Kare

Is account me aap jitane chahe image add kar sakte hai. Or us email ka gravatar image set kar sakte hain. Or usi email ka use kar ke. Aap jis bhi WordPress blog par comment karenge. To wahan comment me wahi picture show karegi. Jo picture apne, us email me set ki hui hai.

Blogger-blog-ke-liye-gravatar-image-kaise-upload-kare

  1. Pahle is icon me click kijiye.
  2. Ab ad an image par jaiye.

Blogspot-blog-ka-gravatar-kaise-set-kare

Yahan aapko char option milte hain.

  1. New Upload ka use kar ke new image upload kar sakte hain.
  2. From URL se URL ke jariye image upload kar sakte hain.
  3. Pet Image ka matlab hai ki jo image apne pahle upload ki thi. Usi me se kisi ko select kar sakte hain.
  4. From Webcam ka use kar ke ap abhi apni photo lekar, upload kar sakte hain.

Ham example ke liye New Upload select kar rahe hain.

Blogger-users-wordpress-comment-me-apna-photo-kaise-dikhaye

  1. Gallery se apani gravatar image choose kijiye.
  2. Ab Next kijiye.

Set-gravatar-image-for-blogger-blog

Ab Crop Image par click kijiye.

Blogger-website-ke-liye-gravatar-image-kaise-banaye

Yahan apko options milenge. Jiske alag-alag matlab hote hain.

  1. Is option ka istemal tab kare. Jab apki image puri tarah se sat suthri ho. Otherwise baki ke kisi bhi options ka use kar sakte hain.
  2. Ab Set Ratting par click kijiye.

Aapka blogger blog ka email avtar image set ho chuka hai.

To friends ab to apko “blogger blog wale WordPress comment me apna image kaise show karaye?” sawal ka jawab mil chuka hoga. Or ab aap jan gaye honge ki blogspot blog ka gravatar image kaise set karte hain.

1 thought on “Blogger Users Gravatar Image Kaise Set Kare (Complete Details)”

Leave a Comment