Image editor apps, picart vs photo editor.

PicsArt_app_se_behatar_image_editor_app_kounsa_hai

Hello friends… Aj is post par ham image editing ke bare me baat karenge. Jab bhi ham image editing ki baat karte hain. To sabke dimag me ek hi app ke bare me khyal aata hai. Vo app hai PicsArt. Magar is post me ham ap apko ek or image editor app ke bare me batayenge. Jiska naam hai Photo Editor. Is app ke bare me shayad hi ap jante honge. Kyuki is app ka naam kafi common hai. Or is naam se or bhi kai sare app hain. To ye jyada famous app nahi hai. Magar koi bhi achcha image editor, is app ko use jarur karega, or karte hain. Ham khud is app ka use pichhale do saalo se kar rahe hain. Ap mere blog me jitne bhi images dekhte hain. Vo sab is Photo Editor app se hi create karte hain. To aj ham ap sabko yahi batane wale hain ki PicsArt app or Photo Editor app me kya antar hai. Or dono me se jyada behtar koun hai ?

PicsArt app:

PicsArt ek bahut purana or achcha app hai. Iski size 35MB hai. Or isme kai sare effects hai. Stickers hai. Image collages hai. Image crop kar sakte hain. Kai sare stylish photo frames hai. Jpeg image create kar sakte hain. GIF image bhi bana sakte hain. Text edit kar sakte hain. Or bahut sare stylish font bhi milte hain. Text color, outline, adjust or color chun sakte hain. Shadow bhi laga sakte hain. Image resize kar sakte hain. Crop, adjust kar sakte hain. Image rotation bhi kar sakte hain. Drowning kar sakte hain. Pics edit karne ke baad, save & shere bhi kar sakte hain. PicsArt app me apna account bana ke ap, khud ke banaye images post bhi kar sakte hain. To ye rahe PicsArt app ke feature.

Photo Editor app:

Photo Editor app bhi ek bahut achha aap hai. Iski size 5MB hai. Agar ap bahut creative hai. To is app se bhi bahut achchi image create kar sakte hain. Bas mehnat or creative hone ki jarurat hai. Or iske function samajhna bhi har kisi ke bas ki baat nahi. Isme bhi apko kai effects milte hain. Lekin use kaise use karna hai ? Ye apki creativity par nirbhar karta hai. Kyuki apko effect dalne ka sirf option milta hai. Effect apko khud create karna hota hai. Image adjust kar sakte hain. Isme image clone bhi hai. Image crop kar sakte hain. Or image free shape crop bhi kar sakte hain. Text edit, image editing, or shape editing ke sath-sath emotions bhi edit kar sakte hain. Image resize bhi kar sakte hain. Ap PDF file create kar sakte hain. Isme video capture bhi hai. Frame bhi hai. Image rotation bhi hai. PDF file ko JPG image me convert kar sakte hain. Drowning kar sakte hain. Image skew bhi kar sakte hain. Color copy bhi kar sakte hain. Ya fir color code ka bhi use kar sakte hain. Isme ap webpage bhi capture kar sakte hain. Or bhi kai features hain. Lekin abhi ke liye bas itna hi.

PicsArt V/S Photo Editor:

  • PicsArt ke kuchh features offline ( bina internet ke) kaam nahi karta. Photo Editor offline bhi sare kaam karta hai. Siway webpage capture ke.
  • PicsArt me PDF file creater nahi hai. Jabki Photo Editor se ap PDF file create kar sakte hain.
  • PicsArt app me bahut sare designed fonts hai. Jabki Photo Editor app me, sirf simple fonts hi hai.
  • PicsArt me ap text fill me sirf 2 color hi choose kar sakte hain. Or color blur ka option nahi milta. Jabki Photo Editor app me, apko 2 tarah ke colors set karne ke option milte hain. Ek option me ap sirf do colors chun sakte hain. Or dusre me 6-7 colors chun sakte hain. Or text fill color ke blur ko bhi select kar sakte hain. (Do rang jo bich me judte hain. Uske blur ko select kar sakte hain)
  • PicsArt app me text outline me sirf ek hi color chun sakte hain. Jabki Photo Editor app me text outline ke wahi option hai. Jo text fill color me milta hai.
  • PicsArt app me text background set karne ka option nahi milta. Jabki Photo Editor app me text background bhi set kar sakte hain.
  • PicsArt app me line spanning or latter spanning nahi hai. Jabki Photo Editor app me, ye dono option hai.
  • PicsArt me dots outline nahi kar sakte. Jabki Photo Editor app me outline ke liye dots, double dots dash line ke liye bhi option hai.
  • PicsArt app me text, shape or image ko perspective nahi kar sakte. Jabki Photo Editor me ap ye tino hi perspective kar sakte hain.
  • PicsArt me emotions nahi milte. Jabki Photo Editor app me emoticons milte hain.
  • PicsArt me inner shadow ka option nahi hai. Janki Photo Editor app me inner shadow laga sakte hain.
  • PicsArt app me ap text ko re-edit nahi kar sakte. Agar usme galti ho jaye. To apko sidha use delete ya erase karna padta hai. Jabki Photo Editor app me ap text, shape, image or emotions sabko re-edit kar sakte hain.
  • PicsArt app me ap apko stickers milte hain. Jabki Photo Editor app me apko stickers nahi milte hain.
  • PicsArt app me apko photo frames milte hain. Jabki Photo Editor app me apko sirf frame shape milte hain. Apko khud hi use design karna hota hai.
  • PicsArt me bahut sare bane banaye filters or effects hai. Jabki Photo Editor app me apko khud hi effect create karna hota hai.
To friends ab ap kafi had tak in dono apps ke bare me jaan gaye honge. Dono ki tulna karne par yahi malum padta hai ki ye dono hi apps kafi achchhe hain. Or inme se apko kounsa use karna hai ? Ye apke creativity par nirbhar karta hai. 😃
Agar achche se dono apps ka antar janana chahte hain. To ap ye video dekh sakte hain.
Hamare post Shere jarur kare or hamare blog ko subscribe karna na bhule.

Leave a Comment