Internal Or External Linking Kya Hai Or Kaise Kare?

Hello friends… aaj ham Blogging aur Blog SEO ke bahut hi important hisse Internal Linking ke bare me bat karenge. Internal Linking Kya Hai aur External Linking Kaise Kare? Agar apko iski strategy maalum pad jaaye to nishchit hi aap apne blog ke bounce rate ko kabhi bhi badhane nahi denge

Blog bana lene ke baad, us blog ko Google Search Engine me ranking increase karne ke liye hame har post ko SEO Friendly banana hota hai. Jinme se ek hai post me Internal Linking Karna. Lekin jyatatar new bloggers ye nahi samajh pate ki vo Internal Linking Kaise Kare? Magar ye post padhane ke baad apka confusion dur jayega. Internal Linking Kaise Karte Hai samajhne se pahle apko ye samjhna hoga ki Internal Linking Kya Hota Hai?

Kya Hai Internal Linking

Internal Linking Kya Hai? Aasan shabdon me kahe to jo ham apne post me, apne hi blog ke dusre posts ka link add karte hain. Use hi Internal Linking Kaha Jata Hai.

Meri isi post me aap kai sare links dekh rahe honge. Aur unme se sare links mere Hindi Me Seekhe blog ka hi hai. To yahi mere is post ke Internal Links hai.

Blog me kai sare widget add rahte hai. Jaise – populer posts, archive posts, categories, in sab me bhi hamare blog ke links add rahte hain to ye bhi Internal Links kahlate hain.

External Linking Kya Hai

Internal Linking me to apne post me, apne hi blog ke dusre posts ke URL (link) add karte hai. Lekin kisi dusre blog ke post link ko apne blog post me add karna External Linking kahalata hai.

Jaise ki agar ham kisi dusre blog ke post ka link apni isi post me add karenge to vo External Link kahlayegi.

Internal v/s External Linking

Internal Linking and External Linking ke bare jankar apko confusion to ho raha hoga ki dono me se jyada useful koun hai. To ham ye bhi clear kar de rahe hai.

Internal Link Add Karne Ke Fayde

Internal Linking Ke Fayde bahut sare hain

  1. Apke blog ki bounse rate ghatati hai. Iska matlab ye hai ki apke blog me visitors aate hain to jyada der tak rukte hain.
  2. Post Indexing me help milti hai.
  3. Bounce rate kam hone ki wajah se post ranking high rahati hai.
  4. Post ranking Improve hoti hai.
  5. Post views increase hoti hai.
  6. Blog traffic badhane me madad karti hai.
  7. User friendly hoti hai. Har user ko uske kaam ki posts, ek hi post me mil jati hai.

External Link Add Karne Ke Fayde

External linking ko bahut sare blogger bahut halke me lete hain. Kyonki unhen aisa lagata isse unka koi fayda nahi. Lekin aisa nahi hai. External Linking Se Hone Wale Fayde ko aap is tarah se samajhane ki koshish kijiye.

Maan jaiye aap juto ke bahut bade shaukin hai aur aap achhi dukan par jakar jute kharid chuke hain. Lekin usi time dukandar ne apko ye bata diya ki falan dukan me jute 50% ki chhut me mil rahi hai. To kya apko khushi nahi hogi? Jarur hogi, kyonki us dukandar ne apka fayda karaya hai.

To yahi chij Google bhi dekhta hai ki ap apne user ke liye likhte hain ya khud ke liye likhate hai. Agar aapke blog me External Links add hai. To Google ye samjhta hai ki aap apne users ko fayda dila rahe hain users apke blog se khush hai. To ye baat apke blog ranking ko improve karti hai. Ab ham asal mudde par aayenge aur ye batayenge ki Internal Linking Kaise Kare.

Tips: Internal Linking Kaise Kare

Internal Linking ki wajah se hone wale fayde sirf tabhi ho sakte hai. jab aap sahi tarike se internal linking kare. Jyadatar new blogger yahan par confusion ka shikar ho jate hai ki Internal Linking Kaise Karu? To ham apko kuchh tips de rahe hai. Jisase apko Internal Links Add karne me confusion nahi hoga.

Add Topic Related Links

Apke diye hue links par click tabhi kiya jayega. Jab vo link, apke likhe hue post se related hoga. Udaharan ke agar koi banda ye padhne aaya ki Website Kaise Banaye? To jahir si baat hai ki us post domain, hosting, SEO aur earning ki baat jarur likhi gayi hogi. To agar aise post me domain kya hai wali link hogi. To domain ke bare janane ke liye user jarur uspar click karega aur padhega.

Aap jis topic likh rahe hain. Usi category ke dusre posts ke links bhi add kar sakte hain. Isse users ko thodi jyada jankari milne me madad milti hai. Jaise meri ye post blogging aur SEO related hai. To hamne isme blogging aur SEO se related posts ki links add kiya hai.

Unrelated Topic Links

Kai bar aisa hota hai ki kisi topic par aap pahli bar post likh rahe hai. To apke pas us topic se related koi dusri post nahi hogi. Aise me apko post ke paas wale jo topic hote hai. Jaise koi Website kaise banaye topic padh raha hai. To jahir si baat hai ki vo phone ya computer me hi post padh raha hai. To unke liye jarur phone ya computer se related koi na koi post useful hogi. To isi baat ko samjhate hue links add kare.

Use Good Anchor Text

Anchor Text un texts ko kahte hain. Jinme links lagaye hue hain. To achche anchor text apke user ko us par click karne par majbur karta hai aur click kar ke dekhte bhi hai.

Lekin kabhi bhi anchor text ke karan misleading nahi hona chahiye. Jaise link kisi aur vishay par ho aur anchor text me kuchh aur likha ho. Ye nahi hona chahiye.

Useless Link Add Na Kare

Kai bar bas post ranking increase karne ke liye ham bina matlab ke bhi links add kar dete hai. To aisa nahi hona chahiye. Isse users pareshan bhi hote hain.

Hamne puri koshish ki hai ye samjhane ki, ki Internal Linking Kya Hai aur Internal Linking Kaise Kare. Ab apka confusion dur ho jana chahiye. Lekin fir bhi confusion baki rah gaya hai to aap comment kar ke puch skte hai

10 thoughts on “Internal Or External Linking Kya Hai Or Kaise Kare?”

    • Ye aapke content par depend karta hai Ki apke blog me content se related, kitni posts hai. Agar aap apne post me related link de rahe hain. To aap jitni marji, utna de sakte hain. Bas itna dhyan rakhe ki linking anchor text sahi ho aur vo thuse hue na ho.

      Kahne ka matlab hai ki sirf internal linking karne ke liye bullet list (unordered list) ka use karte hain. Jo unrelated interlinking ke liye sahi hai. Lekin jab aap related linking kar rahe hain. To apko paragraphs me hi karna chahiye.

      Ye bhi dhyan dijiye ki do Internalinking ka anchor text same to same na ho. Anchor text in text ko kahte hain. Jis par link lagate hain.

      Reply
  1. हम अपने कॉम्पटीटर की बैकलिंक चेक करने के बाद वे बैंकलिंक कहा मिली है कैसे चेक करे।

    Reply
    • SEO Tools ka istemal karo uske jariye aap dekh sakte ho ki samne wale ne kosi URL se backlink li hai or kis Keyword pe liyi hai
      SEO Tools me Apko Free Or Paid Tools dono milege aap paid me jate hai to apko bahut sare suvidhye milti hai par aap Free tools ka bhi istemal kar skte hai free tools me Ahrefs Free Backlink Checker bahut hi badhiya hai Click Here

      Reply

Leave a Comment