Hello friends… Blogging ke liye aap chahe Blogger platform ka use kar rahe ho ya WordPress ka. Blog bana lene ke baad sabse pahli chij aati hai use design karne ki, aur designing me sabse pahle baat aati hai Website Header Logo ki. To is post me ham aapko Blog Ke Liye Stylish Logo Online Kaise Banaye, ye batayenge.
Stylish Logo Online banana bahut aasan prakriya hai. Lekin jo log image editing nahi jante. unke liye ye chhota kaam bhi bahut bada hai. Isliye is post me ham apko Free Online Logo Maker ke jariye, Logo Generate karna aur design karna batayenge.
Logo Kya Hai? – What is Logo in Hindi
Logo Kya Hai (What Is Logo): Logo ek tarah se, kisi bhi sansthan, vyavasay, udyog ya website, ke naam ko design karke ya stylish tarike likhkar banaye gaye image ko kahte hain. Kyonki ye us kaam ya sangathan ke pratik banane ka kaam karti hai. Aap ise us vyakti ya sansthan ka chehara bhi kah sakte hain.
Logo Ka Design, rang-rup aur aakar (pixel size) ye sab is baat par depend karte hain ki aap kis website ya social media ke liye Logo bana rahe hain. Jaise ki agar aap blog ke liye logo ka size 662×168 (only for example) hota hai matlab chaudai (width) jyada aur height (lambai) kam.
Lekin agar ham YouTube Logo ki baat kare to vo charon taraf se barabar hoti hai. Yaani ki 1200×1200. Isi prakar se YouTube thumbnail aur YouTube Channel Art ke size bhi alag-alag hota hai. Facebook page Logo aur cover photo size bhi alag-alag hota hai.
Isi prakar jis ke liye Logo Design kiya ja raha hai. Usi ke anurup, uska rang, roop aur akar-prakar decide kiya jata hai. Logo Image ke liye PNG format ko, ideal format mana gaya hai. Kyunki ye format transparent hoti hai aur website ke background colour ke hisab se adjust ho jati hai.
- Best Photo Edit Karne Wale Apps
- Bitcoin Kya Hai? – What is Bitcoin in Hindi
- Mobile और Computer पर Voice Typing कैसे करें?
Logo Design Kaise Kare?
Logo Design Kaise Kare? Jyadatar log, jo designing ka kaam nahi jante hain. Unhe bahut pareshani hoti hai. Isaliye ham apko kuchh Logo Design Ideas de rahe hai. Taki aap samajh sake ki apko apne Blog Ke Liye Kaisa Logo Banana Chahiye? ham kuchh basic Ideas de rahe hain. vo zindgi bhar apke kaam aayegi.
Logo Design Ideas
- Blog Theme ke primary colour par dhyan de aur logo ke rang me primary theme colour aur second primary colour ka use kare.
- Website ka header background (mobile aur desktop dono ka) colour check kijiye usi ke anusar logo ka main colour rakhe.
- Kam se kam 2 aur jyada se jyada 3 rangon ka hi istemal kare.
- Colour choose kar lene ke baad, ab apko font family select kar lijiye.
- Aap do fonts family bhi use kar sakte hain. Lekin ye dhyan jarur rakhen ki dono fonts family ek dusre ko complete karte hain.
- Ab apko koi ek shape choose karna hai. Jiske istemal se aap logo design kar payenge.
Ye tips unke liye hai. Jo khud Logo Maker App me, Logo Create karte hain. Ye bahut simple tarika hai kisi bhi tarah ke logos banane ke liye.
Online Stylish Logo Kaise Banaye
Is Online Logo Maker Tool ka istemal aap mobile aur computer dono me kar sakte hain. Pahle CoolText.com me chale jaiye. Yahan bahut sare designs, font familes maujud hai.
Ab thoda niche jane par apko bahut sara designs dikhenge. Jo pasand aaye, us par click kare.
- Yahan apne website ka naam likhe.
- Yahan se font family select kar lijiye.
- Yahan par text size set kar lijiye.
Ab agar aap logo me kisi icon ko jodna chahate hain. To Add Symbol par click kare.
Ab jaisa ki aap dekh rahe hain ki yahan ek icon aur ek text hai. To jab aap icon edit karna chahe, tab icon select kare aur jab text edit karna ho tab text select kare.
Aap yahan par “X” bhi dekh rahe honge. Iska matlab ye hai ki har ek alphabet se icon design change ho jata hai. Yaani ki agar aapko aisa hi koi dusra icon chahiye. To aap dusre alphabets likhkar check kar sakte hain.
Is image me hamne text select kar ke rakha hai.
- Logo par jagen. Is option se aap colour change kar sakte hain. Apne website ke header ke anusar colour rakhiye.
- Yahan colour select kijiye ya HTML colour code likhiye.
- Ab shadow par jaiye.
Ye bahut important setting hai. Yahi se aap apne Logo ko Style de sakte hai. Shadow ka matlab parchhai hota hai.
- Yahan aap shadow ka dhundhlapan set kar sakte hain.
- Yahan shadow ki najdiki aur duri set kar sakte hain.
- Yahan shadow ka colour aur uski gaharai set kar sakte hain.
- Ye sab karne ke baad Image par jaiye.
- Yahan image position set kijiye.
- Yahan chaudaai set kijiye.
- Yahan height set kijiye.
- Yahan PNG format set kijiye.
- Ab Composite select kijiye.
- Yahan se aap dusra logo add kar sakte hai. Ye option un logo ke liye important hai. Jinhen Facebook page ya other things ke liye logo bana rahe hain.
- Yahan se aap layers ko aage, pichhe ya remove kar sakte hain.
- Ab agar apko stylish logo lnline banaya hua achha lag raha ho. Tab Create Composite par click kar dijiye.
Apka blog ke liye stylish logo taiyar ho chuka hai. Download par click kijiye.
Online Logo Maker Website
Waise to cooltext ek complete Logo Generator hai. Lekin ham apko kuchh aur Online Logo Maker Tools ke bare me bata rahe hain. Taki apke paas jyada options rahe.
- FreeLogoDesign.org – yahan par aap bahut khubsurat logos bana sakte hain. Lekin mobile me logo edit karna bahut mushkil hai. Lekin desktop ke liye ek acchi Logo Generator Website hai.
- LogoGenie.net – ek bhi ek Free Stylish Logo Generator Tool hai. Lekin me bhi aapko mobile me designing karne mein bahut dikkat hogi aur aap yahan bhi Without Signup Logo Download nahi kar sakte.
- LogoFactoryWeb.com – is tool me Logo Create karna bahut aasan hai. Aur aap Without Registration Logo Download kar sakte hain.
Logo Maker Apps
Ham aapko jitne bhi Logo Maker App ke bare me batane wale hain. Usase aap khubsurat Professional Logo bana sakte hain. Lekin iske liye aapko ko us app ka acche tarike se istemal karna sikhna hoga. YouTube me aise kai saare videos hai. Jahan se aap in apps ka istemal karna seekh sakte hain.
Conclusion
To aakhir me yahi baat pata chalti hai ki aap mobile ya computer, dono me hi aaram se Online Stylish Logo Create kar sakte hain. Aur bahut sari Free Logo Maker Tools aisi Bhi hai jaha par aap bina Sign Up kiye Logo Download kar sakte hain. ham ummeed karte hain ki aapko Logo Design karne ke liye pareshan nahi hona hoga.
apne logo kaise banaye iske baare me bahut hi achche se samjhaya hai . apka bahut bahut dhanyavad sir
Welcome Bro