Yandex Mail Account Kaise Open Kare (Complete Details)

Hello friends… Agar aap ye post padh rahe hain to iska matlab ye hai ki aap ek Blogger hai aur apna blog Yandex Webmaster Tool me submit karna chahte hain. Isliye apne Google me ye search kiya ki Yandex Mail Account Kaise Banaye. Ap bilkul sahi post par aaye hai.

yandex-mail-account-kaise-banaye
Yandex Email Adress kaise banaye

Kyunki Yandex webmaster me blog submit karne ke liye Yandex Account ka hona bahut jaruri hai aur mere blog ka to tagline hi “Deeply Understand” hai yani ki ham apko puri jankari vistar se dene vale hai. Pahle aapko ye jaan lena chahiye ki Yandex Kya Hai?

Yandex Kya Hai

Yandex Russia country ka search engine hai. Jiski shuruaat 1990 me (yandex.ru) ke rup me Arkedi Volojh ne ki thi lekin aaj ye Russia ka ek vishal IT company ban chuka hai aur ye bhi Google ki hi tarah kai tarah ki sevayen apne users de raha hai.

Duniya me lagbhag har koi Google search engine ki jankari rakhta hai aur unme se kuchh hi log dusre search engine ko bhi jante hain jaise -: Bing, Yahoo aur Baidu lekin bahut logon ko Yendex search engine ke bare me nahi pata hota. Aap Blogger hain isliye isake vishay me jan rahe hain. In sabhi search engines me se kisi ki bhi Russia me achhi pakad nahi hai. Rusi log Yandex ka hi istemal karte hain isliye Yandex ko Russia country ka Google bhi kaha jata hai.

Google hi tarah, Yandex bhi apne users ko Google jaisi hi suvidha pradan karta hai. Jaise -: eCommerce, transportation, navigation, mobile applications, online advertising aur bhi bahut kuchh bas fark ye hai ki Google ka market puri duniya me hai jabki Yandex abhi worldwide kaam nahi karta, uska pura focus Russia par hi hai.

Yandex Mail Account Banane Ke Fayde

Agar aap Bharat ke hai to bhi aap ko Yandex Mail Account Create karne ke fayde pata hone chahiye taki aap sirf ek blogger ke tour par hi use naa kare balki Yandex Mail Account ke aur bhi suvidha prapt kar sake.

  • Gmail ki tarah hi, Yandex mail se ham kai sare social accounts create kar sakte hain jaise -: Facebook, Twitter, Instagram etc…
  • Aisi mobile application (jinme login karne ki avashyakta padti hai) unka istemal kar sakte hain.
  • Jis tarah Google apni sabhi sevayen dene ke Gmail account mangta hai usi tarah Yendex mail account ki jarurat apko har Yandex services ko lene ke liye padti isliye Y-Mail banane se aap iske sabhi services ki suvidha le payenge.

Itni jankari ke baad rukh karte hain Yandex account kaise banaye ki taraf.

Yandex Account Kaise Open Kare?

Sabse pahle aap mail.yandex.com me jaiye.

yandex-account-create-kaise-kare

Ab aap Create an account par click kare.

yandex-account-kaise-khole

Ab aapko aisa page milega.

  1. Apna pahla naam likhe.
  2. Yahan apna upnaam (surname) likhiye.
  3. Yahan username likhiye. Yahi apka Yandex mail hoga. Aap yahan jo likhenge, uske anusar apka mail -: [email protected] hoga.
  4. Yahan password likhiye. Password secure hona chahiye.
  5. Mobile number likhiye. Account verification ke liye jaruri hai.
  6. Ab Send code par click kare. Click karte hi verification code aa jayega. Vo code box me bharkar Confirm par click kare.
  7. Ab Register par click kare.

Note: username available hona chahiye. Agar apka naam available na ho to usme kuchh numbers ya latters add kar ke dekhiye.

Aapka yandex mail account ban chuka hai. Ab profile me DOB (date of birth), country, security settings kar lijiye.

To friends ye thi meri taraf se Yandex Mail Account Kaise Open Kare (Complete Details). Agar post pasand aai ho to shere kare aur follow kare taki aisi hi post apko aage bhi milti rahe.

Leave a Comment