Yandex Webmaster Tool Me Sitemap Kaise Submit Kare

Hello friend… Pichhale post hamne apko ye bataya tha ki Yandex Account Kaise Banate Hai, uske baad hamne aapko ye bataya ki Yandex Webmaster Tool Me Blog Submit Kaise Karte Hai aur aaj ki post me ham aapko ye batayenge ki Yandex Webmaster Tool Me Blog Sitemap Kaise Submit Kare Aur Iske Fayde Kya Hai.

Yandex-webmaster-tool-me-blog-sitemap-add-kaise-kare
Yandex webmaster tool sitemap submit kaise kare

Is blog main aapko har chij step by bataya jata hai. Jaise ki pahle hamne aapko website (blog) create karne ke bare me bataya, uske baad SEO friendly post likhane ki bhi puri jankari di aur phir blog ko Google Webmaster Tool me submit karne ke sath-sath sitemap submit karne ke baare me bhi bataya aur aaj Yandex Me Blog Sitemap Submit Karne Ki jankari de rahe hain.

Sitemap Kya Hai Aur Iske Fayde Kya Hai

GWT me sitemap kaise submit kare wali post me hamne achchi tarah se explain kiya hai ki Sitemap Kya Hai aur Sitemap Submit Karne Ke Kya Fayde Hai? Agar aap vo post nahi padhna chahate to ham yahan ham sankshipt (short) me jankari de rahe hain.

Sitemap Kise Kahte Hai (Sitemap Meaning In Hindi)

Sitemap Kya Hai? Jaisa ki iska naam hi hai “Sitemap” jiska matlab hota naksha aur sitemap bhi hamare pure blog ka XML file me ek map hota hai jo sabhi Webmaster Tools ko hamare website ke posts ki jankari deta hai.

Sitemap Submit Karne Ke Fayde

Sitemap Submit Karne Ke Fayde: Jaisa ki hamne upar bataya ki sitemap hamare blog ka map (naksha) hota hai. Is nakshe ko dekhkar hi Webmaster Robots blog ke posts ki jankari malum karta hai.

  • Is blog me kitne posts hai?
  • Kitne posts update kiye gaye?
  • Kitne new posts publish hue?
  • Ek posts ke andar kitne posts ki interlinking ki gayi hai?
  • Konsa post delete kiya gaya?

Ye sari jankari koi bhi Webmaster Tool Sitemap se hi leta hai aur hamare sare posts ko index karta hai. Index ke bina koi bhi post search results me nahi aati. To agar aap Yandex Webmaster Tool Me Sitemap Submit nahi karenge to aapka bahut nuksan hoga.

Sitemap Kya Hai Aur Iske Fayde Kya Hai jan lene ke baad ab chalte hain Sitemap Generator ki aur.

Sitemap Generator

Jo log naye hote hain vo aksar Sitemap Generator ko dhundh ne apna waqt ganva dete hai. Jabki sitemap generate karne ki koi jarurat nahi hoti. Hame bas Yandex ko (ya kisi bhi Webmaster Tool ko) sitemap.xml submit karna hota hai. Kyonki bina iske vo blog ko index nahi kar sakta.

Ek bar hamne sitemap.xml submit kar diya to uske baad Yandex khud website ka Sitemap Generate kar lega. To Sitemap Generator dhoondne me apna waqt barbad na kare.

Yandex Webmaster Sitemap Kaise Submit Kare

Ham aisa maan rahe hain ki apne YWT me website submit kar diya hai. Ab aap Yandex Webmaster Tool me login kijiye.

blog-ka-sitemap-yandex-webmaster-tool-me-submit-kaise-kare

Ab apko kuchh aisa page milega.

  1. Pahle apani website select kar lijiye.
  2. Ab Indexing par click kijiye.
  3. Ab Sitemap files par click kare.
  4. Is box me “https://www.yourblog.com/sitemap.xml” likhe.
  5. Ab Add par click kare.

HTTPS tab hi submit kare jab apke blog me SSL certificate install ho. Puri jankari ke ye “SSL kya hai aur blog ke kyu jaruri hai” post padhe.

Apke Blog ka Sitemap Yandex Webmaster Tool Me Successfully Submit ho chuka hai.

To friends hame puri ummid hai ki ap achhi tarah se samajh gaye honge ki Yandex Webmaster Tool Me Blog Sitemap Kaise Submit Kare Aur Iske Fayde Kya Hai.

5 thoughts on “Yandex Webmaster Tool Me Sitemap Kaise Submit Kare”

Leave a Comment