Blog Page, About, Disclaimer, Privacy Policy Kaise Banaye, Kya Likhe

Hello friends… har Blog ke liye About Us, Privacy Policy, Disclaimer aur Contact Pages bahut important hote hain. Ye na sirf hamare visitors ke trust ko badhate hain. Balki AdSense approved karane me bhi hamari madad karta hain. Isliye is post me ham apko, Blog Page Kaise Banaye? Is bare me vistar se batayenge.

Blog Page Kaise Create Kare aur Usme Kya Likhen? Ye dono hi alag-alag topic hai lekin bahut important topic hai. About Us Page Me Kya Likhe? Ye to sab jante hai. Lekin Privacy Policy Page Me Kya Likha Jata Hai, Disclaimer Page Me Kya Likhna Chahiye? Ye jyadatar logon ko nahi pata. To is post me apko sabhi savalon ke jawab mil jayenge.

blogger-blog-ka-page-kaise-banaye

Page Kise Kahte Hai

Bahut se logo ke liye ye bhi ek bahut bada saval ban jata hai ki aakhir ye Pages Hota Kya Hai? Kyunki likhna to dono hi jagah hai. Hame content bhi likhna hota hai aur pages bhi. To Pages Aur Content Me Fark Kya Hai? To ham apko bata de ki blog page aur content me utna hi antar hai. Jitna kisi company ke product aur uske legal dastavej me hota hai.

Maan lijiye ki aapka blog ek company hai. Aur aapke blog ke contents (posts), us company ke product hai aur aapke blog pages, us company ke contract papers hai. Jise ham legal papers bhi kah sakte hain. About Us Page, apke grahak (visitors) ko apke website ke bare me aur apke bare me batata hai. Isi tarah Privacy Policy Page, apke company ki gopniyata niti (iski puri jankari niche di gayi hai) ki jankari deta hai. Aur Disclaimer Page apko kanunan rup se surakshit karne ke liye banaya jata hai.

Ek antar ye bhi hai ki products jo hai. Vo har roj banaye jate hain. Jabki legal papers jarurat ke mutabik banaye jate hain. Persnol ya professional, dono hi tarah ke blogs me kuchh important pages ki jarurat padati hai. Jiska jikra ham niche karne wale hai.

Pages Itne Important Kyu Hote Hain?

Pahla to hamare website ki vishvasaniyata ke liye jaruri hote hain. Hamare blog ke kisi tips ko follow karne ke baad, agar koi pareshani aati hai. To wo sidha hamse contact kar ke hamse puchh sakte hai. Kyunki vo pahle hi, hamara About Author, Disclaimer aur Privacy Policy pages padhkar hamare bare jaan jate hai aur hamare upar unka vishvas ban chuka hota hai. Isaliye vo ham par sidha aarop lagane ki bajay, hamse puchh lete hai.

Dusra, AdSense ya har advertisement company ke liye jaruri hai. Jaisa ki aap jante hai ki hamari kamai ka jariya AdSense aur usi ke jaise anya advertisement websites hoti hai. Lekin in websites se earning karne ke liye blog ko approval chahiye hota hai. Aur approval pane me, pages sabse badi bhumika nibhate hain. Kyonki jin blogs par ye pages na mile. To aise blogs ko fake samjha jata hai. Pages se ye proof hota hai ki ye website real hai, fake nahi.

Blog Page Kaise Banaye

Pahle apna Blogspot Dashboard on kijiye.

blogger-blog-pages-kaise-banaye
  1. Sabse pahle apna blog select kare.
  2. Ab pages par click kare.
  3. Ab New page par click kare.

Apko har naya page isi tarah create karna hoga.

blogspot-blog-par-page-create-kaise-kare
  1. Sabse pahle Page Title likhiye. Taki post permalink, SEO Friendly create ho.
  2. Uske baad yahan page likhe.
  3. Ab Page Settings par click kijiye. Isse baki ke options khul jayenge.
  4. Options par click kare.
  5. Ab “Don’t allow Compose mode” ko select kijiye.
  6. Ab Done kar dijiye.
  7. Ab “Custom Robots Tags” me apko sirf “noindex” select karna hai. Kyonki yahi SEO ke liye behtar hai. Ab ise bhi Done kar dijiye.
  8. Ab finely Publish kar dijiye.

Is tarah se aap Blogspot ke sare pages create kar sakte hai. Ab batate hai ki konse page me, kya likhna chahiye.

About Page Me Kya Likhe

Is blog page ka title ap, About Us, About Me, About Author, bhi likh sakte hai ya only About likh sakte hain. Isse koi fark nahi padta.

  • Apne bare me bataye. Apna naam, rahane ki jagah, umra aur education bataye.
  • Jo secret blogging karte hain. Vo apne blog create kab kiya, kyu kiya, yahan visitors ko kya milega? Ye sab bataye.
  • Ye bataiye ki ye site kis par aadharit hai. Yani ki main content kya hai?
  • Apko ye bhi clear karna hoga ki readers ko is blog me kya-kya padhne aur janane ko milega.
  • Apko ye bhi saaf karna hai ki, aap jo bhi information de rahe hai. Vo aapne kahin se sikhi hai, kya apne khud us chij ka use kiya hai, jiske bare me aap bata rahe hai. Tech blog ke liye ye baat clear karna jaruri nahi hai. Lekin agar aap koi unique content likhte hai to apko ye saaf karna jaruri hai ki aap kis aadhar par likh rahe hain.
  • Website banane ke pichhe apna maksad bataye.
  • Apne new visitors ko ye bhi bataiye ki vo kyu apka blog visit kare? Agar aap ye baat samjhaane me kamayab ho jate hai. To ho sakta hai ki isse Subscribers badh jaye. Padhe Subscription Kya Hota Hai?
  • Apko site banane ka idea kahan se mila? Ye batana bhi apke website banane ke maqsad ko clear karta hai.
  • Aapko ye batana hoga ki aapke blog ko padhne se visitors ko kya fayda milega? kyunki har insaan ka time kimti hota hai. So agar aap apne visitors ko apna blog visit karne ke fayde bata denge. To vo aapke blog me nirantar visit karega.
  • Sabse aakhir me apko, Apne sabhi social media ke links, is page me de dena hain. Taki apke readers apko wahan bhi follow kar sake.

To is tarah se aap About Author Page bana sakte hain. Example ke liye mera About Me Page dekhiye.

Privacy Policy Page Me Kya Likhe

Privacy Policy Page me ham apne regular visitors ko, hamare blog ke vyavahar aur hamari jawabdehi batate hain. Ham apne visitors ke privacy ka kitna khyal rakhte hain? Konse data ka use karte hai aur kaise use karte hain? Ye ham is blog page ke jariye batate hain.

Jyadatar log Privacy Policy Page Automatic Generate kar lete hain. Lekin mere khyal se apni gopniyata niti khud likhni chahiye. Kyonki blog hamara, content hamara, to niti bhi hamari honi chahiye. Bas kuchh bate aisi hain. Jiska ullekh apko is page par karna hi chahiye.

Hamne jitne headings diye hain. Aap ko bhi un headings istemal karke hi page likhna hai.

Log Files

Is heading me apko ye batana hai ki apki site log file ke tay ki gai prakriya (procces) se gujarati hai. Fir apko ye batana hai ki jab apke visitors aate hain to apki hosting company, unka internet protocol (IP Address) Browser type, internet service provider (ISP), date aur time stamp, reference, exit page aur clicks ko analyse karti hai.

Apko ye batana hai ki ye sari jankariyan, traffic janane ke liye ikatthi ki jaati hai. Inme se aisi koi bhi Jankari nahi hai. Jisse unke vyaktigat rup se pahchan ho sake. Jaise – unka naam, unka address. Ye jankari ikatthi karne ka uddeshya sirf website ke traffic aur visitors ke pasand aur napasand ko samajhne ke liye kiya jata hai.

Kya Ham Cookies Ka Prayog Karte Hai

Is heading me aapko, apni visitors ko ye batana hai ki aapki website bhi anya websites ki tarah cookies ka istemal karti hai. In cookies ka istemal, visitors ke priority aur un pages ki jankari ikatthi karne ke liye karta hai jo user ne dekhi hai. Is jankari ka upyog, website ko apne user ke pasand ke adhar par banane ke liye kiya jata hai.
Aapki website bhavishya me user ki priorities ko samajhne aur sahejane ke liye cookies aur data ka istemal karti hai. Taki ap user ke site experience ko aur bhi behtar bana sake. Apko ye batana hai ki ye cookies aur data collection aap khud nahi karte, apki host company collect karti hai. Apko apni host company ka naam batana hai aur unki privacy policy page ka link bhi dena hai.

Apko ye clear karna hai ki apne website par user ko achchha experience dene ke liye hm third party service providers ka bhi use karte hain. Aur unki gopniyata niti hamare control se bahar hoti hai. Isaliye apko unke Privacy Policies padhna chahiye.

Ham Jo Data Collect Karte Hai

Yahan par apko ye batana hai ki agar aap hamare blog ko subscribe karte hain, ya comment karte hai, ya contact page ke madhyam se contact form bharate hain. Tab hamare paas aapka email aur naam aa jata hai. Lekin ham apke Email aur pahchan ko surakshit rakhte hain. Aur inka istemal sirf apke savalon ke jawab dene ya apni post pahunchane ke liye karte hain.

Apko ye clear karna hai ki ap kabhi bhi subscription service provider aur comment plugin badal sakte hain. Aur vo in data ka use kaise karte hai? Ye janane ke liye aap unka privacy policy padhiye. Kyonki hamara unki website par koi niyantran nahi hai.

Ham Aap Ki Jankari Ka Upyog Kaise Karte Hain

Is heading me aapko, step-by-step ye batana hai ki aap apne users ke jankari ka istemal, kab aur kaise karte hain. Jaise – apki prashnon ka uttar dene ke liye, website ko aur behtar banane ke liye, aapko new post ki jankari dene ke liye, etc.

Bahari Service Provides Ki Suchana

Yahan aapko ye batana hai ki aap apne users ki jankari, kisi bhi bahri party ko nahi bechate. Aur apko apne advertisement websites (jo aap, apne blog me use karte hain jaise AdSense aur Amazon) ka ullekh karke ye batana hai ki apki cookies and web beacons ka upyog kar sakte hain.

Double Click Cart Cookies

Is heading me apko ye batana hai ki ap third party websites me se ek Google ka istemal karte hai aur iske ads aapke blog me dikhai dete hain. Google users ke dart cookie ka istemal, visitors ko unke intrest ke hisab se ads dikhane ke liye karte hai. Ye dart cookie apki bina kisi vyaktigat pahchan ke bhi pahchan jati hai. Google apki vyaktigat jankari, jaise – email, naam aur pata ko track nahi karta. Aap Google ads privacy policy ko padhkar, use disagree bhi kar sakte hai.

Ab apko ye batana hai ki apka un cookies par koi niyantran nahi hai. Jo third party website ke dwara use ki jati hai. Lekin aap apne browser ke madhyam se in cookies ko nash kar sakte hain. Adhik jankari ke liye ham apko vigyapan dataon ke gopniyata niti padhne ki salah dete hai. Hamari blog ki Privacy Policy, in ads websites par lagu nahi hoti.

Privacy Policies Me Badalav

Yahan aapko ye batana hai ki aap kabhi bhi apane gopniyata niti me badalav kar sakte hain. Iska aapko putn adhikar hai. Ham upyogkarta ko gopniyata niti me parivartan ki samay-samay par janch karne karne ki salah dete hain aur ham aisa mante hai ki hame aapka purn samarthan prapt hai.

In Sharton Par Apki Swikriti

Yahan par aap visitors ko ye batate hain ki vo apke sabhi Privacy Nitiyon ko bina shart swikar kar rahe hain. Agar apko hamari neeti sweekar nahi hai. To ap hamare website ko prayog karna band kar dijiye. Agar aap iska prayog kar rahe hain. To ham ise aapki sahamati samjhenge.

Hamse Contact Kaise Kare

Yahan aapko, apne users ko khud se contact karne ke sare sampark madhyam batane honge. Jaise- apne contact page ka link, apne sare social media ke link, apna email address aur agar chahe to apna what’s app number de sakte hain.

Disclaimer Page Me Kya Likhe

Is page me apko ye likhna hai ki apki website me sabhi post puri jankari ke hisab se (apne content anusar likhe) likha jata hai. Ye bina kisi purv suchana ke kisi bhi tarah ke parivartan ke adhin hai. Na to ham aur na hi koi tisara paksh, koi bhi varanti, is website par pai gayi kisi bhi tarah ki di gayi suchana ki satikata, samaybaddhata, shuddhata aur vaidhyata ki guarantee nahi lete.

User swikar karte hai ki hamari post me puri jankari aur ashuddhiyan ya galtiyan ho sakti hai. Ham kanunan taur par aisi kisi bhi tarah ke trutiyon ke liye khud ko jawabdehi se bahar karte hain. Apka blog ya iske koi bhi adhikari iske liye jimmedar nahi honge. Ye users khud tay kare ki post apki aawasyakta puri kar sakti hai ki nahi.

Ab aapko ye likhna hai ki aap apne blog me puri jankari dene ki koshish karte hai aur kabhi-kabhi par update bhi karte hain. Kuchh mamlon me post bahut purani ho sakti hai. Aise me apka blog bina kisi purv suchana ke kisi bhi post ko update ya sanshodhit karne ka pura adhikar rakhta hai.

Ab apko ye likhna hai ki apke blog me kai sari samagriyon par apka swamitv hai aur unka licence apke paas hai. In samagri me design, look, layout images shamil hai. Magar ye sirf hamare tak simit nahi hai. Is website ke sabhi trade mark, jinka license hamare pas nahi hai. Unhe bhi swikar kiya gaya hai. To in websites ka prayog nuksan ke sandeh paida karti hai.

Third Party Links

Upar utna sab likhane ke baad, ab apko ye heading likhni hai aur ye batana hai ki aap apne blog me hamesha achchi quality ke post ki link dene ki koshish karte hain. Lekin fir bhi ham un post par di gai jankari ke puri tarah se sahi hone ka dawa nahi karte aur nahi hi un post par hamara koi niyantran hai. Isaliye ham bhi tarah ki suraksha ya privacy ulanghan ke liye jimmedar nahi honge.

Aisi website hamare privacy policy ke tahat nahin aati hai. Aise me aapko savdhani rakhni chahiye aur us website ki privacy policy page ko padhna chahiye. Link website wali website samagri ke liye ham kisi bhi tarike se jimedar nahin hai.

Third Party Websites

Yahan aapko ye likhna hai ki aap ki website mein users ko vigyapan aur anya samagri mil sakti hai. Jo hamare partners, suppliers, advertisers, sponsors, licensors and other third parties ki sevaon se Judi hui hoti hai. In sites par di gayi samagri aur links par hamara koi niyantran nahi hai. Unki samagri kabhi bhi badal sakti hai. In sites ki apni privacy policy ho sakti hai. Un websites par diye gaye link ki website apne gopniyata niti ke adhin hai.

Disclaimer Update

Yahan aapko ye batana hai ki aap kabhi bhi koi parivartan karenge. To aap uska jikra yahan karenge.

Example ke liye aap techlekhak.com website ke pages par sakte hain.

Conclusion

Ham jante hai ki post bahut jyada lamba ho gaya hai. Lekin is post ko padhne ke baad aap ho clear gaye honge ki aapko apna About Us page, Privacy Policy Page aur Disclaimer Page Kaise Banana Hai aur Usme Kya Likhna Hai. Sabhi jaruri vishyon ko achhi tarah soch samajhkar likhiye.

Leave a Comment