Hello friends… Aaj ham apko Mobile Me Facebook Account Kaise Banaye, Ye batayenge. Ham me se jyadatar logon ke paas PC nahi hai, or unhen apna Facebook Account Kholna Hai, to unhen phone par hi banana hoga. Lekin PC par Facebook look, alag najar aata hai. Or Google me FB ID banane wale jyadatar post desktop version ka hi hai. Lekin is article me ham apko specially Mobile Me Facebook Account Kaise Banaye? ye batane wale hain.
Facebook Kya Hai?
Facebook ID Kaise Banaye se pahle Facebook Kya Hai ye bata dete hain. ek online social networking service hai. Jiski sthapana 4 February 2004 me hui thi. Iska headquarter Menlo park, California me hain.
Mark Zuckerberg ne apne kuchh friends Eduardo Saverin, Andrew McCollum, Dustin Moskovitz or Chris Hughes ke sath milkar banaya tha. Mark Zuckerberg us waqt Harvard university me rahte the. Or unke vo chaaro dost unke roommates the.
Shuruaat me unhone facebook ko sirf Harvard university tak hi seemit rakha tha. Lekin baad me ise or bhi aaspass ke colleges me faila diya. Or ab FB duniya ka sabse popular social networking site hai.
Facebook Account Banane Ke Fayde
Facebook bahut badi online networking website hai. Is website ki help se, duniya tak apni baat pahchana bahut aasan ho gaya hai. Naye-naye logo se sampark ka sabse bada maadhyam ban gaya hai. Ham duniya bhar ke logo tak apni baat pahucha sakte hain. Or apne business ki ya apne website ko shere kar ke, use munafa bhi kama sakte hain.
- Ap bahut sare naye friends bana sakte hain.
- Ap apne vichar duniya tak pahuncha sakte hain.
- Aap apne hobbies ke anusar, group or page bana sakte hain.
- Agar aap koi business karte hain. To us business ko bhi FB par promot kar sakte hain.
- Agar apki website hai. To Facebook ki help se apki website ko high traffic mil sakti hai.
- Ap apna hunar duniya tak pahuncha sakte hain.
- Facebook ke madhyam se online paise bhi kama sakte hain.
To ye the kuchh fayde Facebook id banane ke, Agar ap account banane me asurakshit mahsus kar rahe hain ki kahin kuchh galat naa ho jaye. To ghabraye nahi. Kyonki FB bahut badi website hai. Ye apki suraksha ka pura khyal rakhti hai. Apko kai security options deti hai. Jisase ap apne facebook account ko surakshit rakh sakte hain. Jisaki jaankari ham apko aage ki post me denge. Ab batate hai ki Mobile Me Facebook Accounts Kaise Banate Hai?
- Facebook Messenger Me Mp3 Song Kaise Bheje?
- Facebook Messenger Chat Hide कैसे करे?
- ShareChat App क्या है और इससे पैसे कैसे कमाए
Ham apko phone par, chrome browser se facebook banane ka tarika hindi me bata rahe hain. Or sare screen sorts, hamne phone se hi liye hain.
Mobile Me Facebook Account Kaise Banaye
Sabse pahle www.facebook.com par jana hoga.
Ab aap Create New Account me jaiye.
Ab Apna gender select kijiye, uske paas next per click kijiye.
Ab apna naam likhkar next par click kijiye.
Apna date of birth select kijiye fir next kijiye.
- Apna phone number likhiye.
- Agar aap email address par account banana chahate hain? To Sign up with email address par click kijiye. Uske bad email id daal kar next par click kar dijiye.
Ab password likhiye (password strong hona chahiye) uske baad Sign Up kar dijiye.
Yahan aapse Log in with one tap ke liye puchha jayega. Iska matlab Jab aap agli baar login karenge, to aapko password dalne ki jarurat nahi padegi. Bas profile image per click karte hi aap log in ho Jayenge.
Mere khyal se is Log in with one tap ko on rakhane se, hamare facebook account security me problem ho sakti hai. Kyonki aise koi bhi hamari FB id ko khol kar dekh sakte hain. To aise me Not now par click karna hi behtar rahega.
Ab aapko confirmation code aayega. Us code ko dalkar Confirm kar dijiye.
- Yahan apko ek alag option add karne ka option milega. Jaise- Agar apne phone number par account banaya hai, to yahan par aapko email address add karne ka option milega.
- Yahan Par aapko doosra mobile number ya email address add karne ka option milega.
- Agar aapko confirmation code nahi mila to aap Send Code Again par click kar sakte hain.
- Agar aap abhi confirm nahi karna chahte hain to cancel kar sakte hain.
Lekin bina confirm kiye aap facebook account access nahi kar payenge.
To dosto ye tha Mobile Me Facebook Account Kaise Banaye (Tarika Hindi Me). hame ummeed hai ki aapko ye information bahut pasand aai hogi.