Hello friends… Aaj hum Aapko Batayenge Google Opinion Rewards App Kya Hai, Isase online earning kaise kare?. Isaki Puri Jankari Denge. Mere khyal se ye best earning app hai. Ham ise best app for earning isaliye kah rahe hain. Kyonki isame apko baki earning apps ki tarah kisi ads par click nahi karne padte. Jiski wajah se apka waqt barbad nahi hota.
Isame bas kuchh savalon ke jawab dekar, credits (money) earn karne hote hain. Ye sare sawal, asal me survey hota hai. To ek tarah se, aap direct Google ke survey ka hissa ban jate hain. Jiske badale me kuchh paise kama lete hain. Isake sath ye Google jaise trusted brand ka app hai. To isame apko dhoka milne jaisi koi baat hi nahi hai. Google Opinion Rewards ko ham kahan-kahan kharch kar sakte hai, aur jyada survey kaise paye? In sabki jankari ke liye puri post padhe.
Google Opinion Rewards App Kya Hai
Google ne hal hi me ek app launch kiya hai. Jisme koi bhi vyakti Google survey me hissa le sakta hai. Ye survey Google waqt waqt me bhejati hai. Yani ki apko isame daily kaam karne ki jarurat na pade. Ye sare survey kisi bhi products ke bare me, janta ke vichar janane ke liye hota hai. Isme kuchh sawal puchhe jate hain.
Jiska users apane anubhav ke aadhar par jawab de sakta hai. Aur inhi jawabon ke badale, google users ko google play credits deta hai. Ye app specially un logon ke liye banaya gaya hai. Jo bussiness karte hain. Jisse bussiness man ko pata kar sakta hai ki unke products janta ko kitane pasand aa rahe hain? Koi bhi business man, apne products ke review khud dekh payenge.
- Google Keep App Kya Hai Or Kaise Use Kare
- ShareChat App क्या है और इससे पैसे कैसे कमाए
- Mobile और Computer पर Voice Typing कैसे करें?
Google Opinion Rewards Se Paise Kaise Kamaye
Sabse pahle to play store me jaiye. or Google Opinion Rewards app Install kar Lijiye. Install hone ke baad app khole. Fir apko usme account banana hoga.
STEP-1 Pahle page me apna naam, shahar ka PIN code or country name select karke, CONTINUE par click kar dijiye.
STEP-2 Dusre page me aapko apna age gap set karna hai. Jaise agar apki age 25 se 34 ke bich hai, to 25-34 select kare or CONTINUE kar dijiye.
STEP-3 Ab tisare page me gender select kar ke, CONTINUE kijiye.
STEP-4 Ab apni bhasha select karke CONTINUE par click kijiye.
Ab aise page par pahunch jayenge. Ab survey me bhag lene ke liye ANSWER SURVEY par click kijiye. Uske baad disclaimer show karega. Apko YES kar ke next karna hai.
Ab apko aisa page milega. Is image jaise dikh raha hai. Apko bhi aise hi sawal milenge. Aapko bas answer select kar ke next karte jana hai.
Tips :- jyada play credits paane ke Liye hamesha positive answer hi select kare jisse google aapko achhe credits de.
Jaise hi aapka survey complete hoga. Uske baad aapko play credits de diya jayega. Lekin yad rakhe, jo credits apko milte hain. Uski limit khatm hone se pahle apko kharch karne padenge. Jaise ki 3-10-2018 ko Google play credits mile. To 3-10-2019 se pahle unhen kharch kar lijiye.
- Zip और RAR File को Online कैसे Open करे?
- Photo Edit करने वाले Top 6 Photo Editor Apps के नाम
- Facebook Messenger Chat Hide कैसे करे?
Google Play Credits Ko Kaise Kharch Kare
In credits ko aap apane bank account me jama nahi karwa sakte, yani ki sare paise apko Google products ko kharidane ke liye istemal karna hoga.
Jaise –
- Apps – play store se koi bhi paid apps kharid sakte hain.
- Games – play games se kisi bhi paid games ko kharid sakte hain.
- Movies – play movies me paid movie dekh sakte hain
- Books – play books ka koi book kharid sakte hain.
- Music – play music se koi bhi paid online song kharid sakte hain.
- Youtube Paid Movies – Youtube ke bhi paid movie aap play credits se kharid sakte hain.
Google Rewards Me Jyada Survey Kaise Paye
Jaisa ki hamne upar bataya hai ki Google Opinion Rewards me apko roj work nahi karna hota. Isme google khud aapko survey bhejta hai. To ye survey apko roj-roj nahi milenge. Yani ki agar aaj apne ek survey me participate kiya. To ho sakta hai ki agla survey apko 2 weeks ke baad mile.
Google Play rewards me jyada survey pani ke liye, aapko apne phone ka location on karna hoga. Jiski madad se google ye jan payega ki ap kahan travel kar rahe hain? Or usi jagah ke aadhar par aapko surveys milenge. Isake liye ye steps follow kare.
STEP-1 Menu button me click kare.
STEP-2 Ab settings par click kare.
STEP-3 Ab Google location history par click kijiye.
STEP-4 Ab apko ye dono Option on kar dena hai. Ab isi aadhar par Google aap ko Naye survey bhejega.
Tips :- Google Opinion Rewards App ko kuch din tak Install karke rakhe jisse aapko bahut jaldi jaldi survey mile.
Conclusion
To dosto ab to aap jaan hi gaye na ki Google Opinion Rewards kya hai, or isase ghar baithe online earning kaise kare? Meri nazar me ek best earning app hai. Jahan bina apna waqt gavaye, aap online paise kama sakte hain.
बहुत ही बढ़िया जानकारी शेयर की आपने इस महत्वपूर्ण जानकारी को शेयर करने के लिए आपका बहुत-बहुत धन्यवाद
बहुत ही बढ़िया जानकारी शेयर की है आपने
Bahut badiya!!